shab-e-tanhai
ātish-e-ishq se merī shab-e-tanhā.ī meñ
saa.e ne bhī na diyā saath
mirī jaañ kā vo nārāz rahā
maiñ ne jab aa.ina dekhā to pashemān huā
apnā chehra na nazar aayā mujhe
aa.ine meñ koī vīrāna thā
pyāla gardish meñ thā
mai us meñ nahīñ thī hargiz
maiñ bulātā rahā saaqī ko
pe vo niklā nahīñ mai-ḳhāne se
ḳhas-o-ḳhāshāk huī merī talab
sūrat-e-dūd huā merā junūñ
aa.ina toḌ diyā maiñ ne tabhī
aag us meñ se uThī aisī
ki maiñ jalne lagā
jal ke maiñ raakh huā
mai liye tab vahī saaqī aayā
jis ne fariyād ko merī na sunā thā pahle
ab usī ne chheḌī
raakh merī ki bane piyāla us se
aur us raakh ke pyāle ko vo mai se bhar de
ātish-e-ishq se merī shab-e-tanhā.ī meñ
saa.e ne bhī na diyā saath
vo nārāz rahā
aatish-e-ishq se meri shab-e-tanhai mein
sae ne bhi na diya sath
meri jaan ka wo naraaz raha
main ne jab aaina dekha to pasheman hua
apna chehra na nazar aaya mujhe
aaine mein koi virana tha
pyala gardish mein tha
mai us mein nahin thi hargiz
main bulata raha saqi ko
pe wo nikla nahin mai-KHane se
KHas-o-KHashak hui meri talab
surat-e-dud hua mera junun
aaina toD diya main ne tabhi
aag us mein se uThi aisi
ki main jalne laga
jal ke main rakh hua
mai liye tab wahi saqi aaya
jis ne fariyaad ko meri na suna tha pahle
ab usi ne chheDi
rakh meri ki bane piyala us se
aur us rakh ke pyale ko wo mai se bhar de
aatish-e-ishq se meri shab-e-tanhai mein
sae ne bhi na diya sath
wo naraaz raha
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 34)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.