shab-e-tanhai
saañs roke hue is shahr se guzrī hai havā
kuchh to kahtī hai fazā raat ke dīvānoñ se
ḳhālī saḌkoñ pe bahut shor hai sannāTe kā
giit likkhe haiñ ḳhamoshī kī madhur tānoñ se
mere ahbāb mujhe kahte haiñ ai jān-e-azīz
tū yahāñ tanhā añdheroñ se ulajhtā kyā hai
shahr meñ saf sī bichhī hai bujhe añgāroñ par
tū faqat raakh ke ambār ko taktā kyā hai
aao ham mil ke manā.eñ shab-e-ḳhāmoshī ko
bujh gayā dil to huā kyā abhī bīnā.ī hai
ḳhālī nazroñ se takeñ TuuTe hue tāroñ ko
apne ḳhvāboñ pe pashemāñ shab-e-tanhā.ī hai
saañs roke hue is shahr se guzrī hai havā
sans roke hue is shahr se guzri hai hawa
kuchh to kahti hai faza raat ke diwanon se
KHali saDkon pe bahut shor hai sannaTe ka
git likkhe hain KHamoshi ki madhur tanon se
mere ahbab mujhe kahte hain ai jaan-e-aziz
tu yahan tanha andheron se ulajhta kya hai
shahr mein saf si bichhi hai bujhe angaron par
tu faqat rakh ke ambar ko takta kya hai
aao hum mil ke manaen shab-e-KHamoshi ko
bujh gaya dil to hua kya abhi binai hai
KHali nazron se taken TuTe hue taron ko
apne KHwabon pe pasheman shab-e-tanhai hai
sans roke hue is shahr se guzri hai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.