shab-gardon ke liye ek nazm
raat hai burda-farosh
us ke bahkā.e hue hosh meñ kab aa.e haiñ
apne āñchal ke sitāre bhī jo nīlām kare
us kī bāñhoñ meñ jo bahkā hai
vo sambhlā hī nahīñ
us kī bātoñ meñ jo aayā
vo kabhī soyā nahīñ
jis ke paikar ko havā ne bhī kabhī mas na kiyā
raat purkār
fusūñ-zār
aur āshufta-mizāj
jis kī ā.ankhoñ ko kisī ḳhvāb ne bosa na diyā
aisī dilkash ki misāl us kī muhāl
jis se ham-ḳhvāb ho be-ḳhvābī muqaddar us kā
jis ke ham-rāh chale ḳhud ko bhulā detā hai
us ke bahkā.e hue
'hāfiz' o 'rūmī' o 'tabrez' hue
raat hai burda-farosh
us ke bahkae hue hosh mein kab aae hain
apne aanchal ke sitare bhi jo nilam kare
us ki banhon mein jo bahka hai
wo sambhla hi nahin
us ki baaton mein jo aaya
wo kabhi soya nahin
jis ke paikar ko hawa ne bhi kabhi mas na kiya
raat purkar
fusun-zar
aur aashufta-mizaj
jis ki aaankhon ko kisi KHwab ne bosa na diya
aisi dilkash ki misal us ki muhaal
jis se ham-KHwab ho be-KHwabi muqaddar us ka
jis ke ham-rah chale KHud ko bhula deta hai
us ke bahkae hue
'hafiz' o 'rumi' o 'tabrez' hue
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.