shab ka safar
āḳhirash aa ga.ī vo shab ai dil
sub.h se intizār jis kā hai
merī tanhā.ī kī rafīq ye shab
kaun kahtā hai ki tārīk hai shab
mere har dard se paivand bane
ārzūoñ kī ik ridā aisī
jis kī zambīl meñ maiñ ne apne
dil jigar zehn bichhā rakkhe hoñ
apne ma.ashūq ke is āñchal meñ
kitne armān chhupā rakkhe haiñ
kitne ehsās sajā rakkhe haiñ
mere andar kā karb uThā.e ye shab
kahkashāñ ban ke jagmagātī hai
ruuh burrāq ban sī jaatī hai
jis pe baiThā maiñ apnī duniyā ke
āsmānoñ kī sair kartā huuñ
raat se sub.h ko utartā huuñ
sub.h hotī hai raat aane ko
raat ko intizār rahtā hai
merī tanhā.ī kī rafīq ye shab
merī jānāñ amiiq ye shab
reshmī asvadī atiiq ye shab
kaun kahtā hai ki tārīk hai shab
shab tirā intizār rahtā hai
aaKHirash aa gai wo shab ai dil
subh se intizar jis ka hai
meri tanhai ki rafiq ye shab
kaun kahta hai ki tarik hai shab
mere har dard se paiwand bane
aarzuon ki ek rida aisi
jis ki zambil mein main ne apne
dil jigar zehn bichha rakkhe hon
apne mashuq ke is aanchal mein
kitne arman chhupa rakkhe hain
kitne ehsas saja rakkhe hain
mere andar ka karb uThae ye shab
kahkashan ban ke jagmagati hai
ruh burraq ban si jati hai
jis pe baiTha main apni duniya ke
aasmanon ki sair karta hun
raat se subh ko utarta hun
subh hoti hai raat aane ko
raat ko intizar rahta hai
meri tanhai ki rafiq ye shab
meri jaanan amiq ye shab
reshmi aswadi atiq ye shab
kaun kahta hai ki tarik hai shab
shab tera intizar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.