shab kaisi bhi ho shab se hamein pyar nahin hai
dil shab kī kisī shai kā parastār nahīñ hai
mahtāb se raushan ho ki tāroñ se bharī ho
shab kaisī bhī ho shab se hameñ pyaar nahīñ hai
taslīm ki TuuTā hai sutūn-e-dar-e-zulmat
taslīm ki sadiyoñ kā añdherā huā zaḳhmī
dhartī kī ragoñ se jo lahū chuus rahā thā
vo saañp vo azhdar vo saperā huā zaḳhmī
taslīm ki be-zor huī zulm kī āñdhī
taslīm kī sham'oñ kī laveñ tez huī haiñ
rāheñ ki dhuāñ-dhār thiiñ tārīkī-e-ġham se
ummīd kī kirnoñ se dil-āvez huī haiñ
taslīm ki is mauj-e-tajallī ke jilau meñ
jo kuchh bhī nigāhoñ kā taqāzā thā vo sab
ai dīda-varo phir bhī ye ehsās hai baaqī
shab kitnī hī zartāb ho pur-nūr ho shab hai
dil shab kī kisī shai kā parastār nahīñ hai
mahtāb se raushan ho ki tāroñ se bharī ho
shab kaisī bhī ho shab se hameñ pyaar nahīñ hai
dil shab ki kisi shai ka parastar nahin hai
mahtab se raushan ho ki taron se bhari ho
shab kaisi bhi ho shab se hamein pyar nahin hai
taslim ki TuTa hai sutun-e-dar-e-zulmat
taslim ki sadiyon ka andhera hua zaKHmi
dharti ki ragon se jo lahu chus raha tha
wo sanp wo azhdar wo sapera hua zaKHmi
taslim ki be-zor hui zulm ki aandhi
taslim ki sham'on ki lawen tez hui hain
rahen ki dhuan-dhaar thin tariki-e-gham se
ummid ki kirnon se dil-awez hui hain
taslim ki is mauj-e-tajalli ke jilau mein
jo kuchh bhi nigahon ka taqaza tha wo sab
ai dida-waro phir bhi ye ehsas hai baqi
shab kitni hi zartab ho pur-nur ho shab hai
dil shab ki kisi shai ka parastar nahin hai
mahtab se raushan ho ki taron se bhari ho
shab kaisi bhi ho shab se hamein pyar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.