shab-KHun
jab ban siyāh raat ke tāroñ se bhar ga.e
kunj-e-chaman meñ chamke shagūfe na.e na.e
mujh ko havā ne baat sujhā.ī ajiib sī
bādal meñ ek shakl dikhā.ī ajiib sī
chāñd āsmāñ kī sej pe soyā huā milā
rañg-e-gul-e-anār meñ luthḌā huā milā
ai āshiqān-e-husn-e-azal ġhaur se suno
maiñ barg-e-be-navā to nahīñ huuñ ki chup rahūñ
dil ke kisī bhī shole ko uryāñ na kar sakūñ
maiñ teġh haath meñ liye sū-e-falak gayā
jazboñ ke ras se mahke hue chāñd tak gayā
kaafī thā ek vaar mirī teġh-e-tez kā
mahtāb ke badan se lahū phuuT kar bahā
jab ban siyah raat ke taron se bhar gae
kunj-e-chaman mein chamke shagufe nae nae
mujh ko hawa ne baat sujhai ajib si
baadal mein ek shakl dikhai ajib si
chand aasman ki sej pe soya hua mila
rang-e-gul-e-anar mein luthDa hua mila
ai aashiqan-e-husn-e-azal ghaur se suno
main barg-e-be-nawa to nahin hun ki chup rahun
dil ke kisi bhi shole ko uryan na kar sakun
main tegh hath mein liye su-e-falak gaya
jazbon ke ras se mahke hue chand tak gaya
kafi tha ek war meri tegh-e-tez ka
mahtab ke badan se lahu phuT kar baha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.