shab nama
tasht-e-mahtāb meñ hijr ke ḳhvāb meñ
dil jahāñ bhī gayā
lamha lamha jalā
vasl kī ḳhvāhisheñ
ḳhaak meñ ḳhaak hotī rahīñ
barg-e-gul nam-zada ġham-zada ġham-zada
kah uThā maiñ chalā
os ke motiyoñ ko havā khā ga.ī
zaḳhm-e-āvārgī
dāman-e-dil meñ chup-chāp hañstā rahā
sab purāne na.e kitne mausam ga.e
dhuñd kī us taraf saare manzar vahī
muntazir saf-ba-saf
niiñd meñ koī chup-chāp chaltā rahā
jis ko milnā thā kahīñ
koī ḳhanda-jabīñ ek chehra hasīñ
vo safīna sā ummīd kā ġham kī tajdīd kā
duur hī duur hotā rahā
hijr kā taaj sar par sajāte hue
koī tanhā thā tanhā hai tanhā rahā
tasht-e-mahtab mein hijr ke KHwab mein
dil jahan bhi gaya
lamha lamha jala
wasl ki KHwahishen
KHak mein KHak hoti rahin
barg-e-gul nam-zada gham-zada gham-zada
kah uTha main chala
os ke motiyon ko hawa kha gai
zaKHm-e-awargi
daman-e-dil mein chup-chap hansta raha
sab purane nae kitne mausam gae
dhund ki us taraf sare manzar wahi
muntazir saf-ba-saf
nind mein koi chup-chap chalta raha
jis ko milna tha kahin
koi KHanda-jabin ek chehra hasin
wo safina sa ummid ka gham ki tajdid ka
dur hi dur hota raha
hijr ka taj sar par sajate hue
koi tanha tha tanha hai tanha raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.