shab-pargi
zamīn gol agar hai to gol kyoñ hai ye
maiñ sochtī huuñ ise
mustatīl honā thā
zamīn chāñd se kyoñ is qadar hai duurī par
ise qarīb bahut hī qarīb honā thā
ye chāñd raat ko kyoñ narm raushnī kī kiran
bikhertā hai zamīñ ke siyāh chehre par
ise to garm shuā.eñ hī le ke aanā thā
salāḳh-e-garm kī mānind sho.ala-rū sūraj
zamīñ pe aag kī chādar bichhā ke chaltā hai
ise to chāñd ke paikar meñ Dhal ke aanā thā
banā hai aadmī rahm-o-karam kā putlā kyoñ
hai is sifat se use muttasif kiyā kis ne
darindagī hī se
gar intisāb ho is kā
kahāñ se aa.egā ilzām koī fitrat par
inhīñ ḳhayāloñ meñ rahtī hai mubtalā aksar
ye merī aql kī bechārgī
ki shab-pargī
zamin gol agar hai to gol kyon hai ye
main sochti hun ise
mustatil hona tha
zamin chand se kyon is qadar hai duri par
ise qarib bahut hi qarib hona tha
ye chand raat ko kyon narm raushni ki kiran
bikherta hai zamin ke siyah chehre par
ise to garm shuaen hi le ke aana tha
salaKH-e-garm ki manind shoala-ru suraj
zamin pe aag ki chadar bichha ke chalta hai
ise to chand ke paikar mein Dhal ke aana tha
bana hai aadmi rahm-o-karam ka putla kyon
hai is sifat se use muttasif kiya kis ne
darindagi hi se
gar intisab ho is ka
kahan se aaega ilzam koi fitrat par
inhin KHayalon mein rahti hai mubtala aksar
ye meri aql ki bechaargi
ki shab-pargi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.