shabana
Interesting Fact
Javed penned it for Shabana
ye aa.e din ke hañgāme
ye jab dekho safar karnā
yahāñ jaanā vahāñ jaanā
ise milnā use milnā
hamāre saare lamhe
aise lagte haiñ
ki jaise train ke chalne se pahle
railway-station par
jaldī jaldī apne Dabbe DhūñDte
koī musāfir hoñ
jinheñ kab saañs bhī lene kī mohlat hai
kabhī lagtā hai
tum ko mujh se mujh ko tum se milne kā
ḳhayāl aa.e
kahāñ itnī bhī fursat hai
magar jab sañg-dil duniyā merā dil toḌtī hai to
koī ummīd chalte chalte
jab muñh moḌtī hai to
kabhī koī ḳhushī kā phuul
jab is dil meñ khiltā hai
kabhī jab mujh ko apne zehn se
koī ḳhayāl in.aam miltā hai
kabhī jab ik tamannā puurī hone se
ye dil ḳhālī sā hotā hai
kabhī jab dard aa ke palkoñ pe motī pirotā hai
to ye ehsās hotā hai
ḳhushī ho ġham ho hairat ho
koī jazba ho
is meñ jab kahīñ ik moḌ aa.e to
vahāñ pal bhar ko
saarī duniyā pīchhe chhūT jaatī hai
vahāñ pal bhar ko
is kaTh-putlī jaisī zindagī kī
Dorī TuuT jaatī hai
mujhe us moḌ par
bas ik tumhārī hī zarūrat hai
magar ye zindagī kī ḳhūbsūrat ik haqīqat hai
ki merī raah meñ jab aisā koī moḌ aayā hai
to har us moḌ par maiñ ne
tumheñ ham-rāh paayā hai
ye aae din ke hangame
ye jab dekho safar karna
yahan jaana wahan jaana
ise milna use milna
hamare sare lamhe
aise lagte hain
ki jaise train ke chalne se pahle
railway-station par
jaldi jaldi apne Dabbe DhunDte
koi musafir hon
jinhen kab sans bhi lene ki mohlat hai
kabhi lagta hai
tum ko mujh se mujh ko tum se milne ka
KHayal aae
kahan itni bhi fursat hai
magar jab sang-dil duniya mera dil toDti hai to
koi ummid chalte chalte
jab munh moDti hai to
kabhi koi KHushi ka phul
jab is dil mein khilta hai
kabhi jab mujh ko apne zehn se
koi KHayal inam milta hai
kabhi jab ek tamanna puri hone se
ye dil KHali sa hota hai
kabhi jab dard aa ke palkon pe moti pirota hai
to ye ehsas hota hai
KHushi ho gham ho hairat ho
koi jazba ho
is mein jab kahin ek moD aae to
wahan pal bhar ko
sari duniya pichhe chhuT jati hai
wahan pal bhar ko
is kaTh-putli jaisi zindagi ki
Dori TuT jati hai
mujhe us moD par
bas ek tumhaari hi zarurat hai
magar ye zindagi ki KHubsurat ek haqiqat hai
ki meri rah mein jab aisa koi moD aaya hai
to har us moD par main ne
tumhein ham-rah paya hai
- Book : Lava (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.