shabnam
kyā ye taare haiñ zamīñ par jo utar aa.e haiñ
yā vo motī haiñ ki jo chāñd ne barsā.e haiñ
kyā vo hiire haiñ jo sahrā ne paḌe paa.e haiñ
na bahut duur pahuñch jaa.e mirī baat kahīñ
apne aañsū to nahīñ bhuul ga.ī raat kahīñ
ye kahānī bhī sunā.ī hai zamīñ ne aksar
kahkashāñ jaatī hai jab pichhle pahar apne ghar
pheñktī jaatī hai hañstī huī lākhoñ gauhar
aur har sub.h ko ye khel rachā jaatā hai
in ko ḳhurshīd kī palkoñ se chunā jaatā hai
ye bhī sunte haiñ ki ye saat samundar har roz
shafaq-e-shām kī kashtī meñ sajā kar har roz
nazr dete haiñ surayyā ko ye gauhar har roz
phir surayyā unheñ hañs hañs ke luTā detī hai
ḳhuub chuntī hai zamīñ aur duā detī hai
jis tarah baaġh ke phūloñ ko chaman pyārā hai
ban meñ jo khiltī haiñ kaliyāñ unheñ ban pyārā hai
yūñhī shabnam ko bhī apnā hī vatan pyārā hai
kahkashāñ roz bulā kar use bahkātī hai
par ye dāman meñ zamīñ ke hī sukūñ paatī hai
kya ye tare hain zamin par jo utar aae hain
ya wo moti hain ki jo chand ne barsae hain
kya wo hire hain jo sahra ne paDe pae hain
na bahut dur pahunch jae meri baat kahin
apne aansu to nahin bhul gai raat kahin
ye kahani bhi sunai hai zamin ne aksar
kahkashan jati hai jab pichhle pahar apne ghar
phenkti jati hai hansti hui lakhon gauhar
aur har subh ko ye khel racha jata hai
in ko KHurshid ki palkon se chuna jata hai
ye bhi sunte hain ki ye sat samundar har roz
shafaq-e-sham ki kashti mein saja kar har roz
nazr dete hain surayya ko ye gauhar har roz
phir surayya unhen hans hans ke luTa deti hai
KHub chunti hai zamin aur dua deti hai
jis tarah bagh ke phulon ko chaman pyara hai
ban mein jo khilti hain kaliyan unhen ban pyara hai
yunhi shabnam ko bhi apna hi watan pyara hai
kahkashan roz bula kar use bahkati hai
par ye daman mein zamin ke hi sukun pati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.