shabnami aansu
gulāb kī pankhuḌiyoñ par ye shabnamī aañsū
shab-e-firāq kī dāstāñ bayān karte haiñ
shab-e-hijr ke angāroñ par
jo merī tanhā.ī jaltī hai
to dil kā zabt misl shabnamī-qatroñ ke
merī palkoñ se Tapaktā hai
ik tum hī nā-balad ho
mere dard se vagarna
falak bhī mere sang rotā hai
merī pur-nam āñkhoñ ke lahje to tum
kabhī na jaan pāoge magar
in gulāboñ pe shabnamī aañsū
mere hijr kī dāstāñ hī sunāte haiñ
gulab ki pankhuDiyon par ye shabnami aansu
shab-e-firaq ki dastan bayan karte hain
shab-e-hijr ke angaron par
jo meri tanhai jalti hai
to dil ka zabt misl shabnami-qatron ke
meri palkon se Tapakta hai
ek tum hi na-balad ho
mere dard se wagarna
falak bhi mere sang rota hai
meri pur-nam aankhon ke lahje to tum
kabhi na jaan paoge magar
in gulabon pe shabnami aansu
mere hijr ki dastan hi sunate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.