shafaq
ai shafaq ai zevar-e-ārā.ish-e-charḳh-e-barīñ
tujh meñ vo shoḳhī hai jo ḳhūn-e-shahīdāñ meñ nahīñ
terī har har mauj meñ hai lāla-e-ahmar kā rang
aql-e-insānī hai jis ko dekh kar hairat se dang
tū ne kholā mai-kada ahl-e-falak ke vāste
mast in ko kar diyā apnī sharāb-e-surḳh se
terā ye rangīn manzar ik tilism-e-ḳhvāb hai
terī ye shoḳhī hai yā ik mauja-e-betāb hai
sach batā de kaun hai jis kā hai tujh meñ in.ikās
ai shafaq kartī hai kis ke nuur se tū iqtibās
hai kisī shā.ir kā ḳhūn-e-dil tire ruḳhsār par
ek dhīmī raushnī hai har dar-o-dīvār par
dahr kī har shai tire partav se rangīñ ho ga.ī
shorish-e-hastī tire dāman meñ aa kar so ga.ī
jī meñ aatā hai ki maiñ kah duuñ tujhe rang-e-shabāb
dil-nashīñ tujh ko batā duuñ yā koī hastī kā ḳhvāb
yā ki doshīza hai ik mast-e-mai-e-husn-e-bahār
surḳh āñchal jis kā uḌtā hai fazā meñ baar baar
yā tabassum hai kisī ke chehra-e-zebā kā tū
yā ki naqsh-e-avvalīñ hai husn-e-be-parvā kā tū
terī surḳhī meñ nihāñ hai kuchh sharāb-e-zindagī
terī tah meñ ġharq hai mauj-e-shabāb-e-zindagī
kaash tū 'sāqib' ko bhī apnā banā le rāz-dār
justujū-e-rāz meñ muddat se hai vo be-qarār
ai shafaq ai zewar-e-araish-e-charKH-e-barin
tujh mein wo shoKHi hai jo KHun-e-shahidan mein nahin
teri har har mauj mein hai lala-e-ahmar ka rang
aql-e-insani hai jis ko dekh kar hairat se dang
tu ne khola mai-kada ahl-e-falak ke waste
mast in ko kar diya apni sharab-e-surKH se
tera ye rangin manzar ek tilism-e-KHwab hai
teri ye shoKHi hai ya ek mauja-e-betab hai
sach bata de kaun hai jis ka hai tujh mein inikas
ai shafaq karti hai kis ke nur se tu iqtibas
hai kisi shair ka KHun-e-dil tere ruKHsar par
ek dhimi raushni hai har dar-o-diwar par
dahr ki har shai tere partaw se rangin ho gai
shorish-e-hasti tere daman mein aa kar so gai
ji mein aata hai ki main kah dun tujhe rang-e-shabab
dil-nashin tujh ko bata dun ya koi hasti ka KHwab
ya ki doshiza hai ek mast-e-mai-e-husn-e-bahaar
surKH aanchal jis ka uDta hai faza mein bar bar
ya tabassum hai kisi ke chehra-e-zeba ka tu
ya ki naqsh-e-awwalin hai husn-e-be-parwa ka tu
teri surKHi mein nihan hai kuchh sharab-e-zindagi
teri tah mein gharq hai mauj-e-shabab-e-zindagi
kash tu 'saqib' ko bhi apna bana le raaz-dar
justuju-e-raaz mein muddat se hai wo be-qarar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.