shaffafiyan(2)
abhī lañgar nahīñ Daalā
tikonī bādbāñ kī rassiyāñ Dhīlī nahīñ kiiñ
abhī mastūl apne paañv ke uupar khaḌā hai
safīne ke bhare siine meñ
sāñsoñ kā zaḳhīra sarsarātā hai
abhī ham nāqidāna fāsle se
ajnabī sāhil ke tevar dekhte haiñ
khujūroñ ke daraḳhtoñ meñ chhupī sargoshiyāñ sunñe kī ḳhātir
ham ne apne kaan zinda kar diye haiñ
pahāḌī meñ sarakte
tīr-andāzoñ ke kārobār pe āñkheñ lagā dī haiñ
hameñ
tum apne sāhil par
pazīrā.ī ke kis andāz ke qābil samajhte ho
ye tum par hai
agar tum tiir chhoḌoge
to ham ne apnī āñkhoñ ke sivā
saarā badan pighle hue lohe ke paanī meñ Duboyā hai
hamārā haath
tarkash ke khule muñh par dharā hai
kamāñ kī ḳhushk aur akḌī zabāñ to
muddatoñ se tiir chakhne ke liye bechain hai
tumheñ ye ilm honā chāhiye
ki ham jab apne tiir pe
dushman kī baa.eñ aañkh likhte haiñ
to baa.eñ aañkh hotī hai
kabhī abrū nahīñ hotā
ye tum par hai
agar tum ham ko siine se lagāne ke liye
sāhil pe aa kar apne baazū khol doge
to ham bhī
phaḌ.phaḌāte bādbāñ kī rassiyoñ ko khol deñge
agar tum tiir andāzoñ kī Tolī ko pahāḌī se utāroge
to ham bhī
jism se lipTā huā lohā girā deñge
tumhāre har amal ko ham
baḌī īmān-dārī se, baḌe insāf se radd-e-amal deñge
tumheñ ye ilm honā chāhiye
ki aañkh ke badle meñ aañkh
aur dil ke badle dil hamārā zābta hai
tumhārā husn-e-zan hai
soch ke har zāviye se sochnā
ki ham jo paanī par khaḌe haiñ
kis pazīrā.ī ke qābil haiñ
magar kuchh bhī karo
madd-e-nazar rakhnā ki ham madd-e-muqābil haiñ
abhi langar nahin Dala
tikoni baadban ki rassiyan Dhili nahin kin
abhi mastul apne panw ke upar khaDa hai
safine ke bhare sine mein
sanson ka zaKHira sarsaraata hai
abhi hum naqidana fasle se
ajnabi sahil ke tewar dekhte hain
khujuron ke daraKHton mein chhupi sargoshiyan sunne ki KHatir
hum ne apne kan zinda kar diye hain
pahaDi mein sarakte
tir-andazon ke karobar pe aankhen laga di hain
hamein
tum apne sahil par
pazirai ke kis andaz ke qabil samajhte ho
ye tum par hai
agar tum tir chhoDoge
to hum ne apni aankhon ke siwa
sara badan pighle hue lohe ke pani mein Duboya hai
hamara hath
tarkash ke khule munh par dhara hai
kaman ki KHushk aur akDi zaban to
muddaton se tir chakhne ke liye bechain hai
tumhein ye ilm hona chahiye
ki hum jab apne tir pe
dushman ki baen aankh likhte hain
to baen aankh hoti hai
kabhi abru nahin hota
ye tum par hai
agar tum hum ko sine se lagane ke liye
sahil pe aa kar apne bazu khol doge
to hum bhi
phaDphaDate baadban ki rassiyon ko khol denge
agar tum tir andazon ki Toli ko pahaDi se utaroge
to hum bhi
jism se lipTa hua loha gira denge
tumhaare har amal ko hum
baDi iman-dari se, baDe insaf se radd-e-amal denge
tumhein ye ilm hona chahiye
ki aankh ke badle mein aankh
aur dil ke badle dil hamara zabta hai
tumhaara husn-e-zan hai
soch ke har zawiye se sochna
ki hum jo pani par khaDe hain
kis pazirai ke qabil hain
magar kuchh bhi karo
madd-e-nazar rakhna ki hum madd-e-muqabil hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.