shahar-e-gham-alud mein
us gulāb ko bhī dafnā do
ḳhizāñ ke sūkhe pattoñ par gulāb jal ke nauhoñ kī afsurda bārish
maiñ kāfūr meñ base jism ko zamīn ka paivand banā chukā huuñ
jis par miTe the us ne hī hameñ miTā diyā
sūkhe pattoñ par chalne vaale qadmoñ ke nishān nahīñ hote
sāñsoñ aur āñkhoñ kī kahāniyāñ dhuñd meñ gum kahīñ bhaTaktī rotī haiñ
shahr-e-ġham-ālūd meñ
kyā tum ne ḳhvāboñ ke ghar ko mismār aur ujaḌte dekhā hai
us gulab ko bhi dafna do
KHizan ke sukhe patton par gulab jal ke nauhon ki afsurda barish
main kafur mein base jism ko zamin ka paiwand bana chuka hun
jis par miTe the us ne hi hamein miTa diya
sukhe patton par chalne wale qadmon ke nishan nahin hote
sanson aur aankhon ki kahaniyan dhund mein gum kahin bhaTakti roti hain
shahr-e-gham-alud mein
kya tum ne KHwabon ke ghar ko mismar aur ujaDte dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.