shahar-e-yaran
āsmāñ kī god meñ dam toḌtā hai tifl-e-abr
jam rahā hai abr ke hoñToñ pe ḳhūñ-ālūd kaf
bujhte bujhte bujh ga.ī hai arsh ke hujroñ meñ aag
dhīre dhīre bichh rahī hai mātamī tāroñ kī saf
ai sabā shāyad tire ham-rāh ye ḳhūñ-nāk shaam
sar jhukā.e jā rahī hai shahr-e-yārāñ kī taraf
shahr-e-yārāñ jis meñ is dam DhūñDhtī phirtī hai maut
sher-dil bāñko meñ apne tīr-o-nashtar ke hadaf
ik taraf bajtī haiñ josh-e-zīst kī shahnā.iyāñ
ik taraf chiñghāḌte haiñ ahrman ke tabl-o-daf
jā ke kahnā ai sabā ba.ad-az-salām-e-dostī
aaj shab jis dam guzar ho shahr-e-yārāñ kī taraf
dasht-e-shab meñ is ghaḌī chup-chāp hai shāyad ravāñ
sāqī-e-sub.h-e-tarab naġhma-ba-lab sāġhar-ba-kaf
vo pahuñch jaa.e to hogī phir se barpā anjuman
aur tartīb-e-maqām-o-mansab-o-jāh-o-sharaf
aasman ki god mein dam toDta hai tifl-e-abr
jam raha hai abr ke honTon pe KHun-alud kaf
bujhte bujhte bujh gai hai arsh ke hujron mein aag
dhire dhire bichh rahi hai matami taron ki saf
ai saba shayad tere ham-rah ye KHun-nak sham
sar jhukae ja rahi hai shahr-e-yaran ki taraf
shahr-e-yaran jis mein is dam DhunDhti phirti hai maut
sher-dil banko mein apne tir-o-nashtar ke hadaf
ek taraf bajti hain josh-e-zist ki shahnaiyan
ek taraf chinghaDte hain ahrman ke tabl-o-daf
ja ke kahna ai saba baad-az-salam-e-dosti
aaj shab jis dam guzar ho shahr-e-yaran ki taraf
dasht-e-shab mein is ghaDi chup-chap hai shayad rawan
saqi-e-subh-e-tarab naghma-ba-lab saghar-ba-kaf
wo pahunch jae to hogi phir se barpa anjuman
aur tartib-e-maqam-o-mansab-o-jah-o-sharaf
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 358)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.