shahr gum-sum
buildingeñ zīshān ūñchī
shāh-rāhoñ ke kināroñ par khaḌī thiiñ
shāhrāheñ aatī jaatī gāḌiyoñ caroñ se pur thiiñ
qahva-ḳhānoñ parkoñ galiyoñ mahloñ aur gharoñ meñ
zindagī ma.amūl kī raftār se chaltī thī lekin
bahr ke sāhil kī golā.ī se ham-āġhosh
mīloñ tak ye ābādī kā maskan
ik ḳhamoshī kī ridā oḌhe hue thā
guñg be-āvāz gum-sum
jaise logoñ kī zabāneñ kaT ga.ī hoñ
gāḌiyoñ kā shor saḌkoñ meñ hī dafnāyā gayā ho
bilDigoñ kī gahmā-gahmī
apnā dam sādhe hue pamba-dahan ho
sirf harakat ho magar lā-saut gūñgī
dūsrī jānib samundar
shor se ābād baḌhtā phailtā vāpas simaTtā
harkat-o-āvāz kā azalī namūna
shashdar-o-hairān sā
shorīda-sar pāgal havā se pūchhtā thā
shahr ko kyā ho gayā hai
aur phir jaise javāban
bahr kī lahroñ se Takrātī huī pāgal havā ne
koī jaadū kar diyā ho
aur sāhil par paḌe ḳhāmosh nāqūsoñ ke andar
bahr ke saare bilāloñ kī azāneñ phūñk dī hoñ
aur un ūñchī azānoñ ne lab-e-sāhil se uTh kar
shāh-rāhoñ qahva-ḳhānoñ parkoñ galiyoñ gharoñ kī ḳhāmushī ko
ik ulūhī saut kā malbūs sā pahnā diyā ho
aur yakāyak
shahr apnī quvvat-e-goyā.ī kī baḳhshish ko phir se pā gayā ho
buildingeñ zīshān haiñ ālī-nishāñ haiñ
gāḌiyāñ careñ Trāmeñ chal rahī haiñ
qahva-ḳhānoñ parkoñ galiyoñ gharoñ meñ
shor-o-ġhul hai zindagī hai
shahr ab jaagā huā hai
buildingen zishan unchi
shah-rahon ke kinaron par khaDi thin
shahrahen aati jati gaDiyon caron se pur thin
qahwa-KHanon parkon galiyon mahlon aur gharon mein
zindagi mamul ki raftar se chalti thi lekin
bahr ke sahil ki golai se ham-aghosh
milon tak ye aabaadi ka maskan
ek KHamoshi ki rida oDhe hue tha
gung be-awaz gum-sum
jaise logon ki zabanen kaT gai hon
gaDiyon ka shor saDkon mein hi dafnaya gaya ho
bilDigon ki gahma-gahmi
apna dam sadhe hue pamba-dahan ho
sirf harakat ho magar la-saut gungi
dusri jaanib samundar
shor se aabaad baDhta phailta wapas simaTta
harkat-o-awaz ka azali namuna
shashdar-o-hairan sa
shorida-sar pagal hawa se puchhta tha
shahr ko kya ho gaya hai
aur phir jaise jawaban
bahr ki lahron se Takraati hui pagal hawa ne
koi jadu kar diya ho
aur sahil par paDe KHamosh naquson ke andar
bahr ke sare bilalon ki azanen phunk di hon
aur un unchi azanon ne lab-e-sahil se uTh kar
shah-rahon qahwa-KHanon parkon galiyon gharon ki KHamushi ko
ek uluhi saut ka malbus sa pahna diya ho
aur yakayak
shahr apni quwwat-e-goyai ki baKHshish ko phir se pa gaya ho
buildingen zishan hain aali-nishan hain
gaDiyan caren Tramen chal rahi hain
qahwa-KHanon parkon galiyon gharon mein
shor-o-ghul hai zindagi hai
shahr ab jaga hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.