shahr
shahr tū apne gande paañv pasāre dariyā ke kināre leTā hai
aur tere siine par reñgtī huī chyūñTiyāñ sūraj ko ghuur rahī haiñ
jab nisf darjan ġhair-mulkī hakīmoñ ne mushtarka taur par ailān kiyā
maraz sañgīn hai aur ye bahut jald hī mar jā.egā
to kisī chechak-zada bachche kī tarah tū ne unheñ dekhā aur ḳhāmosh ho rahā
ġhalīz badkār be-rahm
shahr log kahte haiñ tū badkār hai
aur maiñ ne ḳhud dekhā hai
sar-e-shām
tere rañge chehre vaalī aurteñ laḌkhaḌāte nau-javānoñ ko nigal jaatī haiñ
be-rahm
jab raat ga.e tere dānish-var rickshaw kiye ḳhud-kushī karne jaate haiñ
tū ḳhāmosh rahtā hai
shahr maiñ terī dīvāna-kun ḳhvāhishoñ se be-zār huuñ
shahr tū apne gande libās kab utāregā
shahr log kahte haiñ marne ke baad merī haDDī se button banā.eñge
shahr terī dīvāroñ par ye kaisī tahrīreñ haiñ
shahr maiñ ne mahīnoñ se aḳhbār nahīñ paḌhā
shahr tū chaa.e meñ shakar Dālnā bhuul gayā hai
aur ye tere āñsuoñ kī tarah lag rahī hai
shahr mujhe niiñd aa rahī hai thapak kar sulā de
shahr tu apne gande panw pasare dariya ke kinare leTa hai
aur tere sine par rengti hui chyunTiyan suraj ko ghur rahi hain
jab nisf darjan ghair-mulki hakimon ne mushtarka taur par ailan kiya
maraz sangin hai aur ye bahut jald hi mar jaega
to kisi chechak-zada bachche ki tarah tu ne unhen dekha aur KHamosh ho raha
ghaliz badkar be-rahm
shahr log kahte hain tu badkar hai
aur main ne KHud dekha hai
sar-e-sham
tere range chehre wali aurten laDkhaDate nau-jawanon ko nigal jati hain
be-rahm
jab raat gae tere danish-war rickshaw kiye KHud-kushi karne jate hain
tu KHamosh rahta hai
shahr main teri diwana-kun KHwahishon se be-zar hun
shahr tu apne gande libas kab utarega
shahr log kahte hain marne ke baad meri haDDi se button banaenge
shahr teri diwaron par ye kaisi tahriren hain
shahr main ne mahinon se aKHbar nahin paDha
shahr tu chae mein shakar Dalna bhul gaya hai
aur ye tere aansuon ki tarah lag rahi hai
shahr mujhe nind aa rahi hai thapak kar sula de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.