shahr aur zanjir
dard kī raat phir aa ga.ī
mere paañv kī zanjīr phir jaane mujh ko kahāñ le chalegī
kabhī shahr kī nīm-raushan sī vīrān galiyāñ
ḳhamīda sī dīvār ke saa.e saa.e
maiñ paañv meñ kankar chubhotā chalūñgā
kabhī chauḌī chakkī sī bal khātī saḌkoñ kī
hañstī huī raunaqoñ meñ
sulagtī huī ḳhushbuoñ kī junūñ-ḳhez lahroñ ke rele meñ
bebas uḌūñgā
khulī bārk.oñ meñ
daraḳhtoñ ke chamkīle pattoñ pe girtī huī raushnī meñ
kabhī chāñd ke nīlgūñ saa.e meñ baiTh kar
dard ke tez kāñTe nikālūñgā chup-chāp
bujhtī huī raat ke āḳhirī pahar meñ
sone bistar kī Dastī huī nāginoñ par
maiñ bhūke badan ko rulātā rahūñgā
dard ki raat phir aa gai
mere panw ki zanjir phir jaane mujh ko kahan le chalegi
kabhi shahr ki nim-raushan si viran galiyan
KHamida si diwar ke sae sae
main panw mein kankar chubhota chalunga
kabhi chauDi chakki si bal khati saDkon ki
hansti hui raunaqon mein
sulagti hui KHushbuon ki junun-KHez lahron ke rele mein
bebas uDunga
khuli barkon mein
daraKHton ke chamkile patton pe girti hui raushni mein
kabhi chand ke nilgun sae mein baiTh kar
dard ke tez kanTe nikalunga chup-chap
bujhti hui raat ke aaKHiri pahar mein
sone bistar ki Dasti hui naginon par
main bhuke badan ko rulata rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.