shahr-badar
shaam kā piñjra mere jism pe gir jaatā hai
aur maiñ darja dom kā qaidī
dushman ke aḳhbār se puurī duniyā ke logoñ kī bigaḌtī shakleñ dekhne lagtā huuñ
aur sūraj kī āzādī
mere jiine kī ḳhvāhish ko apnā dost banāne aa jaatī hai
mere nāshte ke bartan meñ merī mohabbat ke barsoñ kā saarā zā.iqa bhar jaatā hai
cigarette ke har kash se dariyā khīñch aate haiñ
aur parinde apnī aulādoñ ko mere giit kā chogā dete haiñ
jab mere paañv un ke banā.e zābtoñ kī daldal meñ dhañs jaate haiñ
merī āñkheñ lākhoñ miil safar kar jaatī haiñ
aur mere baazū rail kī donoñ paTriyāñ ban kar phailte haiñ
jab merī ragoñ meñ shā.erī ḳhuun banātī hai
maiñ shaam kā piñjra toḌ ke bāhar aa jaatā huuñ
mere paañv ke sab rishte ik duuje se juḌ jaate haiñ
mere lafz daraḳhtoñ ke gumbad meñ kabūtar ban ke gaTalne lagte haiñ
meñ apne sirhāne baiThe neruda se kuchh bāteñ pūchhtā huuñ
sham ka pinjra mere jism pe gir jata hai
aur main darja dom ka qaidi
dushman ke aKHbar se puri duniya ke logon ki bigaDti shaklen dekhne lagta hun
aur suraj ki aazadi
mere jine ki KHwahish ko apna dost banane aa jati hai
mere nashte ke bartan mein meri mohabbat ke barson ka sara zaiqa bhar jata hai
cigarette ke har kash se dariya khinch aate hain
aur parinde apni auladon ko mere git ka choga dete hain
jab mere panw un ke banae zabton ki daldal mein dhans jate hain
meri aankhen lakhon mil safar kar jati hain
aur mere bazu rail ki donon paTriyan ban kar phailte hain
jab meri ragon mein shaeri KHun banati hai
main sham ka pinjra toD ke bahar aa jata hun
mere panw ke sab rishte ek duje se juD jate hain
mere lafz daraKHton ke gumbad mein kabutar ban ke gaTalne lagte hain
mein apne sirhane baiThe neruda se kuchh baaten puchhta hun
- Book : meyaar (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.