shahr-e-ashob
vahī sadā jo mire ḳhuuñ meñ sarsarātī thī
vo saaya saaya hai ab har kisī kī āñkhoñ meñ
ye sarsarāhaTeñ sāñpoñ kī sīTiyoñ kī tarah
siyāhiyoñ ke samundar kī tah se mauj-ba-mauj
hamārī bikhrī safoñ kī taraf lapaktī haiñ
badan haiñ barf, rageñ rahguzār-e-reg-e-ravāñ
ka.ī to sahm ke chup ho ga.e haiñ sūrat-e-sañg
jo bach ga.e haiñ vo ik dūsre kī gardan par
jhapaT paḌe haiñ misāl-e-sagān-e-āvāra
havā guzartī hai sunsān siskiyoñ kī tarah
sadā-e-dard jo mere lahū meñ larzāñ thī
jhalak rahī hai vo ab be-shumār āñkhoñ meñ
laboñ pe suukh ga.ī harf-e-shauq kī shabnam
kisī meñ tāqat-e-guftār agar kahīñ hai bhī
to lafz aate haiñ hoñToñ pe hichkiyoñ kī tarah
tarāshiye to ka.ī pattharoñ ke sīnoñ meñ
shajar kī shāḳhoñ ke mānind naqsh phaile haiñ
par un ke reshoñ meñ zauq-e-numū nahīñ maltā
koī nafēr ki jis kī navā-e-hosh-navāz
diloñ se duur kare sarsarāhaToñ kā tilism
koī umiid kā paiġhām koī pyaar kā ism
vo ḳhvāb-e-parvarish-e-jāñ ki jis pe sadqe hoñ jism
wahi sada jo mere KHun mein sarsaraati thi
wo saya saya hai ab har kisi ki aankhon mein
ye sarsarahaTen sanpon ki siTiyon ki tarah
siyahiyon ke samundar ki tah se mauj-ba-mauj
hamari bikhri safon ki taraf lapakti hain
badan hain barf, ragen rahguzar-e-reg-e-rawan
kai to sahm ke chup ho gae hain surat-e-sang
jo bach gae hain wo ek dusre ki gardan par
jhapaT paDe hain misal-e-sagan-e-awara
hawa guzarti hai sunsan siskiyon ki tarah
sada-e-dard jo mere lahu mein larzan thi
jhalak rahi hai wo ab be-shumar aankhon mein
labon pe sukh gai harf-e-shauq ki shabnam
kisi mein taqat-e-guftar agar kahin hai bhi
to lafz aate hain honTon pe hichkiyon ki tarah
tarashiye to kai pattharon ke sinon mein
shajar ki shaKHon ke manind naqsh phaile hain
par un ke reshon mein zauq-e-numu nahin malta
koi nafeer ki jis ki nawa-e-hosh-nawaz
dilon se dur kare sarsarahaTon ka tilism
koi umid ka paigham koi pyar ka ism
wo KHwab-e-parwarish-e-jaan ki jis pe sadqe hon jism
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 263)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.