shahr-e-bina ke log
dast-e-shafqat kaTā aur havā meñ muallaq huā
aañkh jhapkī to palkoñ pe Thahrī huī ḳhvāhisheñ dhuul meñ aT ga.iiñ
shahr-e-bīnā kī saḌkoñ pe nā-bīnā chalne lage
ek nādīda talvār dil meñ utarne lagī
paañv kī dhuul zanjīr ban kar chhanakne lagī aur qadam sabz-rū ḳhaak se ḳhauf khāne lage
zehn meñ ajnabī sarzamīñ ke ḳhayālāt aane lage
saare nā-bīnā ik dūsre kā sahārā bane
sar pe kāñToñ bharā taaj aur haath meñ motiye kī chhaḌī thaam kar
duur se aane vaalī sadā ke ta.āqub meñ yuuñ chal paḌe
jaise un kā masīhā isī samt ho
jaise un ke masīhā kī āñkhoñ meñ sirf un kī tasvīr ho
jaise un ke ḳhayāloñ meñ khiltī zamīñ un kī jāgīr ho
dast-e-shafqat kaTa aur hawa mein muallaq hua
aankh jhapki to palkon pe Thahri hui KHwahishen dhul mein aT gain
shahr-e-bina ki saDkon pe na-bina chalne lage
ek nadida talwar dil mein utarne lagi
panw ki dhul zanjir ban kar chhanakne lagi aur qadam sabz-ru KHak se KHauf khane lage
zehn mein ajnabi sarzamin ke KHayalat aane lage
sare na-bina ek dusre ka sahaara bane
sar pe kanTon bhara taj aur hath mein motiye ki chhaDi tham kar
dur se aane wali sada ke taaqub mein yun chal paDe
jaise un ka masiha isi samt ho
jaise un ke masiha ki aankhon mein sirf un ki taswir ho
jaise un ke KHayalon mein khilti zamin un ki jagir ho
- Book : Pakistani Adab (Pg. 95)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.