us gird-o-navāh meñ mahkī thī
vo naġhma ba-lab laale kī kalī
pattī par lipTī pattī sarkātī
āhista ḳhirām sunahrī dhūpoñ meñ
ik puurī rut kā ḳham us ke
amrit se bharā
ik puurī rut DanDī Dhalkāne
pañkhuḌiyāñ bikhrāne ko darkār huī
sab chaman chaman gul hauz labālab saa.e ghane
jhoñkoñ kī sūrat kī ravāñ-davāñ
uftāda ba-zāhir sab rāheñ
rahtī haiñ paiham sargardāñ
sab agle pichhle yug
sab baste ujaḌte gaañv nagar
sharnāthī nirvāsī
paiham dohrāte hue
vo biitī bāteñ
jin kā koī ant nahīñ
pīḌhī pīḌhī kālakh piitī
in rāhoñ par
chalte chalte talve pathrā jaate haiñ
pathrāhaT
dhīre dhīre hastī kā zāhir bātin sab letī hai nigal
āñkheñ sākit
aañsū jym jaate haiñ
jab koī na ho
jab saaya shāḳh-e-gul af.ī ban kar reñge
har aahaT ke nādīda haath meñ chāqū kā phal khulā huā
rah rah kar chamak uThe
tab kaun hai ye
shāne par narmī se rakhā jaane vaalā
ik haath kahīñ ye
ḳhusrav kā naġhma to nahīñ
ik pal sanjog zamānoñ kā
jānoñ kā aur armānoñ kā
jharnā ban kar patthar se phuuT paḌā
ye apnī āñkheñ
kitne dūr-darāz zamānoñ meñ
khul saktī haiñ
paanī is chhāñv kā ThanDā yaḳh
paanī meñ basī kuuza kī sugandh
marham zaḳhm-e-jigar kā
aur kaarī itnā
ye apnī āñkheñ kitne dūr-darāz
zamānoñ meñ khul saktī haiñ
sab kuchh vaisā hī jaise sach-much kā
zī-nafas kushāda gird-o-pesh
ta.amīr ujlī ujlī
jādoñ meñ
har aan ujāgar ojhal arz-o-samā
is gird-o-navāh meñ utrā thā
ik shahr-e-navā
vo ek samay kā diip samay kī āñdhī meñ
jaltā thā yahāñ
is meñ jitnā bhī shāmil thā
mahloñ kā fasīloñ kā hissa
nābūd huā
nābūd huā jaatā hai paiham
qatl-e-ām kā ḳhat
lashkar gāhoñ kā raqba
qarnoñ kā asāsa
pūrab kā āhañg ye jaanā pahchānā
ik narm tamāzat basant-rut meñ
rachī huī
jab jab maiñ laalī kahtī huuñ
ik sūraj zer-e-ḳhatt-e-ufuq
mahjūb huā jaatā hai jaise ik aalam
ho us kī taraf añgusht-numā
tham jaate haiñ pal bhar ko navā-gar safar-nasīb
ye kis sāgar kī parvarda badlī hogī
kitnī jaañ levā masāfateñ tai kar ke use
is vaadī ke dāman meñ milā
hañgām barasne kā
us gird-o-nawah mein mahki thi
wo naghma ba-lab lale ki kali
patti par lipTi patti sarkati
aahista KHiram sunahri dhupon mein
ek puri rut ka KHam us ke
amrit se bhara
ek puri rut DanDi Dhalkane
pankhuDiyan bikhrane ko darkar hui
sab chaman chaman gul hauz labaalab sae ghane
jhonkon ki surat ki rawan-dawan
uftada ba-zahir sab rahen
rahti hain paiham sargardan
sab agle pichhle yug
sab baste ujaDte ganw nagar
sharnathi nirwasi
paiham dohraate hue
wo biti baaten
jin ka koi ant nahin
piDhi piDhi kalakh piti
in rahon par
chalte chalte talwe pathra jate hain
pathrahaT
dhire dhire hasti ka zahir baatin sab leti hai nigal
aankhen sakit
aansu jym jate hain
jab koi na ho
jab saya shaKH-e-gul afi ban kar renge
har aahaT ke nadida hath mein chaqu ka phal khula hua
rah rah kar chamak uThe
tab kaun hai ye
shane par narmi se rakha jaane wala
ek hath kahin ye
KHusraw ka naghma to nahin
ek pal sanjog zamanon ka
jaanon ka aur armanon ka
jharna ban kar patthar se phuT paDa
ye apni aankhen
kitne dur-daraaz zamanon mein
khul sakti hain
pani is chhanw ka ThanDa yaKH
pani mein basi kuza ki sugandh
marham zaKHm-e-jigar ka
aur kari itna
ye apni aankhen kitne dur-daraaz
zamanon mein khul sakti hain
sab kuchh waisa hi jaise sach-much ka
zi-nafas kushada gird-o-pesh
tamir ujli ujli
jadon mein
har aan ujagar ojhal arz-o-sama
is gird-o-nawah mein utra tha
ek shahr-e-nawa
wo ek samay ka dip samay ki aandhi mein
jalta tha yahan
is mein jitna bhi shamil tha
mahlon ka fasilon ka hissa
nabud hua
nabud hua jata hai paiham
qatl-e-am ka KHat
lashkar gahon ka raqba
qarnon ka asasa
purab ka aahang ye jaana pahchana
ek narm tamazat basant-rut mein
rachi hui
jab jab main lali kahti hun
ek suraj zer-e-KHatt-e-ufuq
mahjub hua jata hai jaise ek aalam
ho us ki taraf angusht-numa
tham jate hain pal bhar ko nawa-gar safar-nasib
ye kis sagar ki parwarda badli hogi
kitni jaan lewa masafaten tai kar ke use
is wadi ke daman mein mila
hangam barasne ka
Source :
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 15)
- Author : Shafique Fatma Shora
-
Publication : Educational Publishing House
(2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.