shahr-e-nigaran
Hyderabad jise shahr-e-nigārāñ kahiye
rañg-e-rukHsār sahr-e-husn-e-bahārāñ kahiye
kisī shā.ir ke ḳhayāloñ kī hasīn duniyā hai
gul-ezāroñ kī ġhazāloñ kī hasīñ duniyā hai
us kī miTTī meñ mohabbat ke kañval khilte haiñ
zarre-zarre meñ dhaḌakte hue dil milte haiñ
us ke siine meñ qutub-shāh kā kirdār bhī hai
vaz.a-dārī bhī hai iḳhlās bhī hai pyaar bhī hai
us kī bāñhoñ meñ basī bhāg-matī kī duniyā
jagmagātā hai jahāñ chāñd ravā-dārī kā
masjideñ bhī haiñ manādir bhī haiñ girja-ghar bhī
nikhat-o-nūr meñ Duubā huā har manzar bhī
sub.h aatī hai masarrat ke payāmāt liye
zindagānī ke mahakte hue naġhmāt liye
shaam ke dosh pe lahrātā hai rañgīñ āñchal
shab kī āġhosh meñ khiltā hai gulistān-e-ġhazal
is liye 'mīr' kī 'ġhālib' kī ġhazal kahte haiñ
shahar ko mere sabhī tāj-mahal kahte haiñ
Hyderabad jise shahr-e-nigaran kahiye
rang-e-rukHsar sahr-e-husn-e-bahaaran kahiye
kisi shair ke KHayalon ki hasin duniya hai
gul-ezaron ki ghazalon ki hasin duniya hai
us ki miTTi mein mohabbat ke kanwal khilte hain
zarre-zarre mein dhaDakte hue dil milte hain
us ke sine mein qutub-shah ka kirdar bhi hai
waza-dari bhi hai iKHlas bhi hai pyar bhi hai
us ki banhon mein basi bhag-mati ki duniya
jagmagata hai jahan chand rawa-dari ka
masjiden bhi hain manadir bhi hain girja-ghar bhi
nikhat-o-nur mein Duba hua har manzar bhi
subh aati hai masarrat ke payamat liye
zindagani ke mahakte hue naghmat liye
sham ke dosh pe lahraata hai rangin aanchal
shab ki aaghosh mein khilta hai gulistan-e-ghazal
is liye 'mir' ki 'ghaalib' ki ghazal kahte hain
shahar ko mere sabhi taj-mahal kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.