shahr-e-tarik
raat kī zulf mo'attar na badan sho’la-fagan
sard āġhosh-e-fazā chāñd ke māthe pe thakan
koī ham-raqs koī saaz nahīñ pahlū meñ
sirf āvāz sulagtī hai mire kānoñ meñ
khiḌkiyāñ band kiye log siyah-ḳhānoñ meñ
rāhat-e-qalb ko DhūñDeñge in afsānoñ meñ
jin kī tahrīr meñ āġhāz se anjām talak
harf-dar-harf ubaltī hai aziyyat kī sharāb
guzre lamhoñ kā bhī rakhte haiñ jo uñglī pe hisāb
vo kisī ġhaar meñ dubke liye hāthoñ meñ kitāb
muntazir hoñge ki sūraj ke sharāre chamkeñ
taaki alfāz ke sīnoñ kī siyāhī pighle
koī zī-hosh agar hai to sañbhal kar nikle
shahr-e-tārīk meñ daanā kī chalī hai na chale
qurbateñ saañp kī DāḌhoñ se ziyāda mohlik
fāsle dhund meñ malbūs bhayānak chehre
zaḳhm har raah kī chhātī pe abhī haiñ gahre
raushnī qaid yahāñ aur nazar par pahre
rāh-rau saḳht añdheroñ ke siyah dāġhoñ ko
apne 'āriz ke pasīne se nahīñ dho saktā
ḳhuub is haal pe rotā maiñ agar ro saktā
lekin afsos ki aisā bhī nahīñ ho saktā
murda rūhoñ kā sukūñ lūTne vaalā Dhoñgī
barbat-e-aish-o-tarab chheḌ rahā hai dekho
sāmne ḳhauf kā aaseb khaḌā hai dekho
shahr-e-tārīk daraḳhtoñ pe Tañgā hai dekho
laakh chillā.e koī kar ke ab in rāhoñ meñ
koī darvāza khulegā na koī aa.egā
raat ki zulf mo'attar na badan sho’la-fagan
sard aaghosh-e-faza chand ke mathe pe thakan
koi ham-raqs koi saz nahin pahlu mein
sirf aawaz sulagti hai mere kanon mein
khiDkiyan band kiye log siyah-KHanon mein
rahat-e-qalb ko DhunDenge in afsanon mein
jin ki tahrir mein aaghaz se anjam talak
harf-dar-harf ubalti hai aziyyat ki sharab
guzre lamhon ka bhi rakhte hain jo ungli pe hisab
wo kisi ghaar mein dubke liye hathon mein kitab
muntazir honge ki suraj ke sharare chamken
taki alfaz ke sinon ki siyahi pighle
koi zi-hosh agar hai to sanbhal kar nikle
shahr-e-tarik mein dana ki chali hai na chale
qurbaten sanp ki DaDhon se ziyaada mohlik
fasle dhund mein malbus bhayanak chehre
zaKHm har rah ki chhati pe abhi hain gahre
raushni qaid yahan aur nazar par pahre
rah-rau saKHt andheron ke siyah daghon ko
apne 'ariz ke pasine se nahin dho sakta
KHub is haal pe rota main agar ro sakta
lekin afsos ki aisa bhi nahin ho sakta
murda ruhon ka sukun luTne wala Dhongi
barbat-e-aish-o-tarab chheD raha hai dekho
samne KHauf ka aaseb khaDa hai dekho
shahr-e-tarik daraKHton pe Tanga hai dekho
lakh chillae koi kar ke ab in rahon mein
koi darwaza khulega na koi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.