shahr ke ek kushada ghar mein
shahr ke ek kushāda ghar meñ
apne apne kaam sambhāle
maiñ aur ek mirī tanhā.ī
ham donoñ mil kar rahte haiñ
bāteñ karte rote hañste
har dukh-sukh sahte rahte haiñ
aaj ki jab sūraj bhī nahīñ thā
phūloñ ke khilne kā ye mausam bhī nahīñ thā
aur falak par chāñd ke chhā jaane kā hafta biit chukā thā
darvāze kī ghanTī ne vo shor machāyā
jis se puurā ghar tharrāyā
ham donoñ hairān hue ki aisā raahī kaun rukā hai
jo is ghar ko apnā ghar hī samajh rahā hai
khiḌkī se bāhar jhāñkā to bas ik ḳhvāb sā manzar dekhā
sūraj bhī dahlīz pe thā
aur chāñd kivāḌ kī oT se lipTā jhāñk rahā thā
phuul khile the
ham ne is mehmān ko sar āñkhoñ pe biThāyā
dil meñ jagah dī
jo apne ham-rāh sabhī mausam le aayā
thakī huī tanhā.ī ne mujh se
thoḌī der ko mohlat māñgī
maiñ ne us ko chhuTTī de dī
saath meñ ye tākīd bhī kar dī
dekho kal tum apne kaam pe jaldī aanā
bhuul na jaanā
ye raahī jo saare mausam le aate haiñ
in ke raste saarī duniyā meñ jaate haiñ
jis āñgan meñ chalnā sīkheñ
us āñgan meñ ruk nahīñ paate
ruk jaa.eñ to thak jaate haiñ
shahr ke ek kushada ghar mein
apne apne kaam sambhaale
main aur ek meri tanhai
hum donon mil kar rahte hain
baaten karte rote hanste
har dukh-sukh sahte rahte hain
aaj ki jab suraj bhi nahin tha
phulon ke khilne ka ye mausam bhi nahin tha
aur falak par chand ke chha jaane ka hafta bit chuka tha
darwaze ki ghanTi ne wo shor machaya
jis se pura ghar tharraya
hum donon hairan hue ki aisa rahi kaun ruka hai
jo is ghar ko apna ghar hi samajh raha hai
khiDki se bahar jhanka to bas ek KHwab sa manzar dekha
suraj bhi dahliz pe tha
aur chand kiwaD ki oT se lipTa jhank raha tha
phul khile the
hum ne is mehman ko sar aankhon pe biThaya
dil mein jagah di
jo apne ham-rah sabhi mausam le aaya
thaki hui tanhai ne mujh se
thoDi der ko mohlat mangi
main ne us ko chhuTTi de di
sath mein ye takid bhi kar di
dekho kal tum apne kaam pe jaldi aana
bhul na jaana
ye rahi jo sare mausam le aate hain
in ke raste sari duniya mein jate hain
jis aangan mein chalna sikhen
us aangan mein ruk nahin pate
ruk jaen to thak jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.