shahr ki galiyan charaghon se bhar gain
raat ke āḳhirī pahar
maiñ ne muqaddas fly kī sarhad pe
paañv rakhā
us ke sabz pairahan kī ḳhushbū
mere istiqbāl ke liye maujūd thī
mere ḳhāk-ālūd ghuTnoñ ne
zamīn kī ḳhushbū-dār naaf ko chhuā
to maiñ ne
apnā malbūs chaak kar Daalā
vo papers ke jañgaloñ ke shumālī kināre pe baiThī
niil ke pāniyoñ ko kaat rahī thī
us ne mere ḳhāk-ālūd chehre ko
niil kā ā.īna dikhāyā
ham mutabarrik tel ke namkīn charāġh hatheliyoñ pe rakhe
shahr-e-panāh kī taraf chal diye
jahāñ devtā
bāryābī ke muntazir the
hamāre qadmoñ kī aahaT pā kar
muqaddas phāTak ke sunahre kivāḌ
zamīn ke āḳhirī kināroñ tak khul ga.e
aur shahar kī itr-bez galiyāñ
hamāre talve chūmne lagīñ
hamāre suroñ pe phaile
āsmān ke safed varaq par
parindoñ ke liye harf imtinā.a likhā thā
ham ḳhudāvand asar kī ziyārat-gāh ke navāh meñ pahuñche
to devtā apnā marqad chhoḌ kar
dahlīz se aa lagā
us ne apne dil ke chhed
narsale kī shāḳh pe kunda kiye
aur apne ḳhūbsūrat lahn kī sīḌhī lagā kar
diloñ meñ utar gayā
siyāh ma.abad ke sunahre kalas ke saa.e meñ
zā.erīn kā mātamī julūs
dar-o-dīvār pe
nauhe tastīr kar rahā thā
mere pahlū meñ khaḌī
sabz-fām aurat ne
mujhe devtā.ī malbūs hadiya kiyā
to maiñ hātif kī bārgāh kī dahlīz se lag kar
apnā qasīda
bheñT karne lagā
muqaddas fly kī tārīk galiyāñ
namkīn charāġhoñ se bhar ga.iiñ
maiñ ne āḳhirī misra
hātif ko daan kiyā
aur sabz aurat kī niilī āñkhoñ meñ
tahsīn kī naqadī talāsh karne lagā
us ne fasloñ pe karam karte haath se
havā meñ tarāzū banāyā
ek palḌe meñ
merā harf-e-hunar rakhā
aur dūsre meñ
apne jamāl kī naqadī
us ke jamāl kā sabz dariyā
mere dāman meñ bahne lagā
raat ke aaKHiri pahar
main ne muqaddas fly ki sarhad pe
panw rakha
us ke sabz pairahan ki KHushbu
mere istiqbaal ke liye maujud thi
mere KHak-alud ghuTnon ne
zamin ki KHushbu-dar naf ko chhua
to main ne
apna malbus chaak kar Dala
wo papers ke jangalon ke shumali kinare pe baiThi
nil ke paniyon ko kat rahi thi
us ne mere KHak-alud chehre ko
nil ka aaina dikhaya
hum mutabarrik tel ke namkin charagh hatheliyon pe rakhe
shahr-e-panah ki taraf chal diye
jahan dewta
baryabi ke muntazir the
hamare qadmon ki aahaT pa kar
muqaddas phaTak ke sunahre kiwaD
zamin ke aaKHiri kinaron tak khul gae
aur shahar ki itr-bez galiyan
hamare talwe chumne lagin
hamare suron pe phaile
aasman ke safed waraq par
parindon ke liye harf imtinaa likha tha
hum KHudawand asar ki ziyarat-gah ke nawah mein pahunche
to dewta apna marqad chhoD kar
dahliz se aa laga
us ne apne dil ke chhed
narsale ki shaKH pe kunda kiye
aur apne KHubsurat lahn ki siDhi laga kar
dilon mein utar gaya
siyah mabad ke sunahre kalas ke sae mein
zaerin ka matami julus
dar-o-diwar pe
nauhe tastir kar raha tha
mere pahlu mein khaDi
sabz-fam aurat ne
mujhe dewtai malbus hadiya kiya
to main hatif ki bargah ki dahliz se lag kar
apna qasida
bhenT karne laga
muqaddas fly ki tarik galiyan
namkin charaghon se bhar gain
main ne aaKHiri misra
hatif ko dan kiya
aur sabz aurat ki nili aankhon mein
tahsin ki naqadi talash karne laga
us ne faslon pe karam karte hath se
hawa mein taraazu banaya
ek palDe mein
mera harf-e-hunar rakha
aur dusre mein
apne jamal ki naqadi
us ke jamal ka sabz dariya
mere daman mein bahne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.