shahr mein
baañs kī koñpaloñ kī tarah raat kī raat baḌhtī huī laḌkiyo
aa.ine ke har ik zāviye se ulajhtī huī laḌkiyo
tasht-e-sīmāb jhalkātī jhuktī huī laḌkiyo
nit-na.e mausamoñ kī tarah mujh pe biitī huī laḌkiyo
mere hone ko taslīm kar lo to aage baḌhīñ
ḳhvāb-dar-ḳhvāb bas ek hī ḳhvāb hai
mere hone kā ḳhvāb
bhāgte rāstoñ meñ koī sañg raftār-paimā batā de
ki maiñ chal rahā thā
bhiiḌ meñ chalte chalte achānak koī mujh ko kahnī se aage baḌhā de
ki maiñ rahnumā thā
koī fan kī devī
surayyā se utre
mujhe apne andar samo le
koī merī āñkhoñ meñ chubhte hue zarra-e-reg ke vāste
apne āñchal kā konā bhigo le
mujhe rishta-e-jism-o-jāñ meñ piro le
koī bas ghaḌī-do-ghaḌī saath ho le
yā mujhe qulzum-e-ḳhud-farāmoshī-e-māvarā meñ Dubo le
ḳhvāb-dar-ḳhvāb bas ek hī ḳhvāb hai
mere hone kā ḳhvāb
sāñvlī laḌkiyo champa.ī laḌkiyo nit-na.ī laḌkiyo
mere hone ko taslīm kar lo to aage baḌheñ
kaun jaane daraḳhtoñ ke pīchhe na.ī ḳhushbueñ
rāste bhar hamārā svāgat kareñ
kaun jaane ki aahaT se Dartī huī faḌfaḌātī huī fāḳhtā.eñ
hamāre suroñ par sipar taan deñ
aur ham sarsarāte hue āñchaloñ kī huā oḌh kar so raheñ
yā mirī jān-e-jāñ
kaun jaane ki aate dinoñ meñ kisī roz andhī saḌak par
kisī chīḳhte bhūñkte kaale kutte se Darte hue
ham achānak kahīñ aa mileñ
ajnabī rāstoñ kī taraf chal paḌeñ
zehn meñ ḳhvāb kā silsila phailtā ho
aañkh meñ niiñd kā zā.iqa tairtā ho
bahar-taur āsūdgī hai
aur kohre kī chādar
aur sileTī parindoñ kī mānind sāhil ko tārīk kartī huī shaam hai
aur yaḳh-basta gahrī darāḌeñ
aur marmar ke bhārī sutūnoñ se lipTī huī laḌkiyāñ haiñ
aur fasīloñ ke us paar tātār-o-taimūr kā ḳhauf hai
aur us paar talvār aur ḳhanjar uThā.e hue ahlakārān-e-afvāj bedār haiñ
pālkī nālkī
aur kahāroñ kī āvāz biibī haTo
ab ke bārish ne mehñdī ke peḌoñ kī saarī hinā chhīn lī hai
maiñ ki be-chehra
jismoñ ke jañgal meñ hone kā ik ḳhvāb le kar chalā thā
so ab sar-ba-zānū paḌā huuñ
sāñvlī laḌkiyo champa.ī laḌkiyo nit-na.ī laḌkiyo
is gadāgar ke kashkol kī sansanāhaT suno
mere hone kā mātam karo
apne hone kā mātam karo
aur har āte-jāte musāfir se ro kar kaho
shahr meñ ḳhairiyat ke sivā kuchh nahīñ hai
bans ki konpalon ki tarah raat ki raat baDhti hui laDkiyo
aaine ke har ek zawiye se ulajhti hui laDkiyo
tasht-e-simab jhalkati jhukti hui laDkiyo
nit-nae mausamon ki tarah mujh pe biti hui laDkiyo
mere hone ko taslim kar lo to aage baDhin
KHwab-dar-KHwab bas ek hi KHwab hai
mere hone ka KHwab
bhagte raston mein koi sang raftar-paima bata de
ki main chal raha tha
bhiD mein chalte chalte achanak koi mujh ko kahni se aage baDha de
ki main rahnuma tha
koi fan ki dewi
surayya se utre
mujhe apne andar samo le
koi meri aankhon mein chubhte hue zarra-e-reg ke waste
apne aanchal ka kona bhigo le
mujhe rishta-e-jism-o-jaan mein piro le
koi bas ghaDi-do-ghaDi sath ho le
ya mujhe qulzum-e-KHud-faramoshi-e-mawara mein Dubo le
KHwab-dar-KHwab bas ek hi KHwab hai
mere hone ka KHwab
sanwli laDkiyo champai laDkiyo nit-nai laDkiyo
mere hone ko taslim kar lo to aage baDhen
kaun jaane daraKHton ke pichhe nai KHushbuen
raste bhar hamara swagat karen
kaun jaane ki aahaT se Darti hui faDfaDati hui faKHtaen
hamare suron par sipar tan den
aur hum sarsaraate hue aanchalon ki hua oDh kar so rahen
ya meri jaan-e-jaan
kaun jaane ki aate dinon mein kisi roz andhi saDak par
kisi chiKHte bhunkte kale kutte se Darte hue
hum achanak kahin aa milen
ajnabi raston ki taraf chal paDen
zehn mein KHwab ka silsila phailta ho
aankh mein nind ka zaiqa tairta ho
bahar-taur aasudgi hai
aur kohre ki chadar
aur sileTi parindon ki manind sahil ko tarik karti hui sham hai
aur yaKH-basta gahri daraDen
aur marmar ke bhaari sutunon se lipTi hui laDkiyan hain
aur fasilon ke us par tatar-o-taimur ka KHauf hai
aur us par talwar aur KHanjar uThae hue ahlakaran-e-afwaj bedar hain
palki nalki
aur kahaaron ki aawaz bibi haTo
ab ke barish ne mehndi ke peDon ki sari hina chhin li hai
main ki be-chehra
jismon ke jangal mein hone ka ek KHwab le kar chala tha
so ab sar-ba-zanu paDa hun
sanwli laDkiyo champai laDkiyo nit-nai laDkiyo
is gadagar ke kashkol ki sansanahaT suno
mere hone ka matam karo
apne hone ka matam karo
aur har aate-jate musafir se ro kar kaho
shahr mein KHairiyat ke siwa kuchh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.