shahr-panah
ai ham-suḳhan
ḳhāmosh rah
aahaT na kar
ye raat hai
yā raat kā ik 'aks hai
hai raat kā dastūr ye
maqsūd ye manshūr ye
ho hū kā 'ālam bas yahāñ
is hū ke 'ālam meñ miyāñ
bas jaam kī āvāz ho
yā dil-nashīñ ham-rāz ho
paa.el ho mai ho saaz ho
az-bas-ki kyūñkar ho bayāñ
ye rang-o-roġhan kā samāñ
tāroñ kā jaise kārvāñ
harkat meñ saaqī hai kahāñ
bas jaam mahv-e-raqs hai
so ham-suḳhan
ḳhāmosh rah
aahaT na kar
ye raat hai
yā raat kā ik 'aks hai
is raat kī har baat meñ
aise kaThin hālāt meñ
jab saañs par pahre lageñ
hākim jahāñ bahre lageñ
munsif jahāñ ḳhanjar rahe
kyoñ soch na banjar rahe
golī jahāñ qānūn ho
har lab-kushā madfūn ho
aisī añdherī raat meñ
is markaz-e-zulmāt meñ
ik shaḳhs aisā bhī mile
jo sach ke raste pe chale
jo haq kare aise bayāñ
ho fajr kī jaise azaañ
ho raa'd kī jaise kaḌak
ho barq kī jaise chamak
phir yaar ke kūche se le kar
har sutūn-e-dār tak
har madrasa-o-mai-kada
har kūcha-o-bāzār tak
kuchh raushnī kā zikr ho
ḳhurshīd kī bhī fikr ho
jis raah thā sarmad chalā
thā 'faiz' ne jaise kahā
ik qāfila yūñhī chale
tārīk shab aise Dhale
aisā koī to shaḳhs ho
lekin kahāñ vo shaḳhs hai
pas ham-suḳhan
ḳhāmosh rah
aahaT na kar
ye raat hai
yā raat kā ik 'aks hai
ai ham-suKHan
KHamosh rah
aahaT na kar
ye raat hai
ya raat ka ek 'aks hai
hai raat ka dastur ye
maqsud ye manshur ye
ho hu ka 'alam bas yahan
is hu ke 'alam mein miyan
bas jam ki aawaz ho
ya dil-nashin ham-raaz ho
pael ho mai ho saz ho
az-bas-ki kyunkar ho bayan
ye rang-o-roghan ka saman
taron ka jaise karwan
harkat mein saqi hai kahan
bas jam mahw-e-raqs hai
so ham-suKHan
KHamosh rah
aahaT na kar
ye raat hai
ya raat ka ek 'aks hai
is raat ki har baat mein
aise kaThin haalat mein
jab sans par pahre lagen
hakim jahan bahre lagen
munsif jahan KHanjar rahe
kyon soch na banjar rahe
goli jahan qanun ho
har lab-kusha madfun ho
aisi andheri raat mein
is markaz-e-zulmat mein
ek shaKHs aisa bhi mile
jo sach ke raste pe chale
jo haq kare aise bayan
ho fajr ki jaise azan
ho ra'd ki jaise kaDak
ho barq ki jaise chamak
phir yar ke kuche se le kar
har sutun-e-dar tak
har madrasa-o-mai-kada
har kucha-o-bazar tak
kuchh raushni ka zikr ho
KHurshid ki bhi fikr ho
jis rah tha sarmad chala
tha 'faiz' ne jaise kaha
ek qafila yunhi chale
tarik shab aise Dhale
aisa koi to shaKHs ho
lekin kahan wo shaKHs hai
pas ham-suKHan
KHamosh rah
aahaT na kar
ye raat hai
ya raat ka ek 'aks hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.