shaiKH salahuddin
ye sūjhī hai kyā aap ko shaiḳh sāhab
jo chup saadh lī aap ne shaiḳh sāhab
lapeTā thā nāsir jab jab muñh sochā maiñ ne
mohabbat hī kamzor thī aap kī jo nahīñ rok paa.ī use shaiḳh sāhab
sajīlā thā gul aap ke baaġh kā sab se vo shaiḳh sāhab
gayā vo ga.ī bazm-e-yārāñ kī raunaq ga.ī us kī ḳhushbū
tarannum se ḳhālī huī shā.irī guftugū meñ maza na rahā shaiḳh sāhab
mujhe ilm thā ki chhupāte haiñ ġham aap apnā
magar aap ko maiñ bahut saḳht-jān jāntā thā
bha.ī aql-e-kul māntā thā
kahā aap kā go nahīñ māntā thā
kahāñ to ye da.avā ki sau saal kī umr hogī hamārī
kahāñ ab yakāyak batā.e binā chal diye aap nāsir se milne
akele meñ dil aap kā bhī kahāñ lagtā hogā
kitābeñ ḳhvāh qur.ān hī kyuuñ na ho dostī kā badal to nahīñ shaiḳh sāhab
vafā ke taqāze kiye aap ne saare puure
mirī vāpsī ke rahe muntazir āḳhirī saañs tak aap to shaiḳh sāhab
na toḌā kabhī yaad kā mujh se rishta
dhar meñ jise mil na paayā kabhī rāsta vāpsī kā
bahut zor maarā ki maiñ lauT aa.uuñ
karūñ aa ke ābād vo bāġh-e-hikmat
chamakte the jis meñ misāl-e-mehr aap hī shaiḳh sāhab
masā.il ke jañgal meñ gum ho gayā maiñ
siyāsat ke kambal ko jitnā bhī maiñ chhoḌtā vo nahīñ chhoḌtā thā mujhe shaiḳh sāhab
mujhe ab chalā hai patā ki mohabbat na kamzor thī aap kī shaiḳh sāhab
bulāve pe nāsir ke yuuñ chal diye aap uTh kar
mohabbat thī kamzor merī
bulāte rahe aap barsoñ mujhe maiñ na aayā
bahut der kar dī hai aane meñ be-shak
magar ab meñ aayā ki aayā
zarā do ghaḌī intizār aur ġhālib se mil luuñ
bahut kuchh hai kahnā unheñ aap se shaiḳh sāhab
maiñ paiġhām le luuñ
sakīna se mariyam se anvar se ruḳhsat meñ ho luuñ
gale se ibrāhīm ko maiñ lagā luuñ
maiñ aayā ki aayā ḳhudā kī qasam shaiḳh sāhab
ye sujhi hai kya aap ko shaiKH sahab
jo chup sadh li aap ne shaiKH sahab
lapeTa tha nasir jab jab munh socha main ne
mohabbat hi kamzor thi aap ki jo nahin rok pai use shaiKH sahab
sajila tha gul aap ke bagh ka sab se wo shaiKH sahab
gaya wo gai bazm-e-yaran ki raunaq gai us ki KHushbu
tarannum se KHali hui shairi guftugu mein maza na raha shaiKH sahab
mujhe ilm tha ki chhupate hain gham aap apna
magar aap ko main bahut saKHt-jaan jaanta tha
bhai aql-e-kul manta tha
kaha aap ka go nahin manta tha
kahan to ye dawa ki sau sal ki umr hogi hamari
kahan ab yakayak batae bina chal diye aap nasir se milne
akele mein dil aap ka bhi kahan lagta hoga
kitaben KHwah quran hi kyun na ho dosti ka badal to nahin shaiKH sahab
wafa ke taqaze kiye aap ne sare pure
meri wapsi ke rahe muntazir aaKHiri sans tak aap to shaiKH sahab
na toDa kabhi yaad ka mujh se rishta
dhar mein jise mil na paya kabhi rasta wapsi ka
bahut zor mara ki main lauT aaun
karun aa ke aabaad wo bagh-e-hikmat
chamakte the jis mein misal-e-mehr aap hi shaiKH sahab
masail ke jangal mein gum ho gaya main
siyasat ke kambal ko jitna bhi main chhoDta wo nahin chhoDta tha mujhe shaiKH sahab
mujhe ab chala hai pata ki mohabbat na kamzor thi aap ki shaiKH sahab
bulawe pe nasir ke yun chal diye aap uTh kar
mohabbat thi kamzor meri
bulate rahe aap barson mujhe main na aaya
bahut der kar di hai aane mein be-shak
magar ab mein aaya ki aaya
zara do ghaDi intizar aur ghaalib se mil lun
bahut kuchh hai kahna unhen aap se shaiKH sahab
main paigham le lun
sakina se mariyam se anwar se ruKHsat mein ho lun
gale se ibrahim ko main laga lun
main aaya ki aaya KHuda ki qasam shaiKH sahab
- Book : din kaa phool (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.