shaitanat
kahne ko shahr-yār bhī haiñ
aur shahr bhī
lekin koī makīn
na koī makān hai
jhulse hue daraḳht haiñ
beleñ jalī huiiñ
paude hue haiñ ḳhaak
sūkhī hai pattī pattī to
ujḌe haiñ barg-o-bār
aur saare shahr
lipTe hue haiñ ġhubār meñ
sab haiñ dhuāñ dhuāñ
insāniyat hai sar-nigūñ
jangal kā raaj hai
aur sar uThā.e
siina phulā.e haiñ shahr-yār
goyā ye kah rahe haiñ
ki do kuchh ḳhirāj-bāj
paa.ī haiñ tum ne apne
murādoñ kī kashtiyāñ
ham ne to
apnā va.ada kiyā aap se vafā
ab ham ko milnā chāhiye
is kaam kā sila
taaki ai shahryār
dikhā.eñ ham aap ko
shaitāñ ke khel aur
maz.hab kī aaḌ meñ kareñ
insāniyat kā ḳhuuñ
dahshat-pasand ham ko kaheñ
kis kī hai majāl
kahne ko shahr-yar bhi hain
aur shahr bhi
lekin koi makin
na koi makan hai
jhulse hue daraKHt hain
belen jali huin
paude hue hain KHak
sukhi hai patti patti to
ujDe hain barg-o-bar
aur sare shahr
lipTe hue hain ghubar mein
sab hain dhuan dhuan
insaniyat hai sar-nigun
jangal ka raj hai
aur sar uThae
sina phulae hain shahr-yar
goya ye kah rahe hain
ki do kuchh KHiraj-baj
pai hain tum ne apne
muradon ki kashtiyan
hum ne to
apna wada kiya aap se wafa
ab hum ko milna chahiye
is kaam ka sila
taki ai shahryar
dikhaen hum aap ko
shaitan ke khel aur
mazhab ki aaD mein karen
insaniyat ka KHun
dahshat-pasand hum ko kahen
kis ki hai majal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.