shaKHsiyat
biThā ke kāñdhe pe laa.ī thī raat use
shafaq ne hañs ke kiyā thā istiqbāl
havā ne rāgnī chheḌī fazā meñ giit ghule
sajā ke pattoñ kī thālī meñ os ke jugnū
utārī thī peḌoñ ne aartī us kī
magar bulandī pe aa kar badal ga.e tevar
shikan ġhurūr kī peshānī par jhalakne lagī
nigāh-e-qahr-o-hiqārat se dekhtī sab ko
mizāj garm huā aur garm aur bhī garm
junūn sar meñ faqat maiñ kā hī samāyā rahā
aur is ghamanD meñ vo bhuul baiThā hai
ki us ke pīchhe hī hai shaam kā saayā
zamīñ bulandī kī hotī nahīñ hamvār kabhī
yahāñ pe shaḳhs nahīñ shaḳhsiyat Thahartī hai
biTha ke kandhe pe lai thi raat use
shafaq ne hans ke kiya tha istiqbaal
hawa ne ragni chheDi faza mein git ghule
saja ke patton ki thaali mein os ke jugnu
utari thi peDon ne aarti us ki
magar bulandi pe aa kar badal gae tewar
shikan ghurur ki peshani par jhalakne lagi
nigah-e-qahr-o-hiqarat se dekhti sab ko
mizaj garm hua aur garm aur bhi garm
junun sar mein faqat main ka hi samaya raha
aur is ghamanD mein wo bhul baiTha hai
ki us ke pichhe hi hai sham ka saya
zamin bulandi ki hoti nahin hamwar kabhi
yahan pe shaKHs nahin shaKHsiyat Thaharti hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.