shama aur main
mere bistar ke paas
piilī piilī
idhar jal rahī hai jo ik mom-battī
usī kī laraztī huī raushnī meñ
maiñ qasdan kitāb ek paḌhne kī koshish meñ huuñ
achānak se kāñptā vo sho.ala
merī bedār āñkhoñ ko mar.ūb kartā hai aise
ki maiñ us ke is naach meñ
aur pighle hue mom meñ mahv ho jaatī huuñ
jo pighle hue mom ke gird be-tarah shakleñ banāne meñ mashġhūl hai
der tak maiñ use dekhtī huuñ
yahāñ tak ki pighle hue mom ke sivā kuchh bhī bachtā nahīñ hai
maiñ chhup jaatī huuñ lambe pardoñ ke biich
aur takiye pe sar rakh ke
us mom-battī ke baare meñ phir sochtī huuñ
jo baaqī hai
aur apne jīvan ke baare meñ bhī jo ki hai
savāl uThtā hai ki merī zindagī bhī is tarah
kuchh der tak jaltī jaltī chamaktī huī ḳhatm ho jā.egī
ain mumkin hai aisā hī ho
aur mission merā puurā to ho jā.egā
agar ye faqat chand ghanTe jale aur dūsroñ ke liye
kuchh chamak aur damak bhī muhayyā kar le
mere bistar ke pas
pili pili
idhar jal rahi hai jo ek mom-batti
usi ki larazti hui raushni mein
main qasdan kitab ek paDhne ki koshish mein hun
achanak se kanpta wo shoala
meri bedar aankhon ko marub karta hai aise
ki main us ke is nach mein
aur pighle hue mom mein mahw ho jati hun
jo pighle hue mom ke gird be-tarah shaklen banane mein mashghul hai
der tak main use dekhti hun
yahan tak ki pighle hue mom ke siwa kuchh bhi bachta nahin hai
main chhup jati hun lambe pardon ke bich
aur takiye pe sar rakh ke
us mom-batti ke bare mein phir sochti hun
jo baqi hai
aur apne jiwan ke bare mein bhi jo ki hai
sawal uThta hai ki meri zindagi bhi is tarah
kuchh der tak jalti jalti chamakti hui KHatm ho jaegi
ain mumkin hai aisa hi ho
aur mission mera pura to ho jaega
agar ye faqat chand ghanTe jale aur dusron ke liye
kuchh chamak aur damak bhi muhayya kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.