shama
zabt par qudrat hai tujh ko ye ki tū ḳhāmosh hai
tere siine meñ agarche yās-o-ġham kā josh hai
tere ashkoñ se hai zāhir ranj-e-betābī kā haal
bazm meñ jalnā hī terī zindagī kā hai ma.aal
terī dhīmī raushnī meñ hai nihāñ ulfat kā raaz
terī har har saañs hai afsāna-e-soz-o-gudāz
terā jalnā dars hai ahl-e-basīrat ke liye
sham.a tū sham-e-hidāyat hai mohabbat ke liye
sabr kī mahfil meñ ik tū hī hai lazzat-āshnā
zabt-e-rāz-e-ishq meñ ho jaatī hai ḳhud hī fanā
tū na hotī to na hotī bazm-e-ishrat meñ ziyā
tū na hotī to na hotā munkashif rāz-e-fanā
terī hī mamnūn haiñ shāh-o-gadā kī mahfileñ
haiñ tujhī se pur-ziyā shām-e-alam kī manzileñ
tū na hotī to na hotī ḳhāna-e-ishrat meñ dhuum
tere hī dam se to hai kāshāna-e-ġhurbat meñ dhuum
bekasoñ kī qabr par rotī hai rātoñ ko tū hī
aane vaalā jin kī qabroñ par nahīñ hai koī bhī
sach batā ai sham.a kis ke hijr meñ rotī hai tū
kis ke ġham meñ āñsūoñ se apnā muñh dhotī hai tū
kyā tujhe bhī hai kisī kī kam-nigāhī kā gilā
kyā tirī hastī bhī hai yās-o-alam meñ mubtalā
zabt kartī hai jise tū kaun sā vo raaz hai
kis tilism-e-rāz kī ai sham.a tū dam-sāz hai
zabt par qudrat hai tujh ko ye ki tu KHamosh hai
tere sine mein agarche yas-o-gham ka josh hai
tere ashkon se hai zahir ranj-e-betabi ka haal
bazm mein jalna hi teri zindagi ka hai maal
teri dhimi raushni mein hai nihan ulfat ka raaz
teri har har sans hai afsana-e-soz-o-gudaz
tera jalna dars hai ahl-e-basirat ke liye
shama tu sham-e-hidayat hai mohabbat ke liye
sabr ki mahfil mein ek tu hi hai lazzat-ashna
zabt-e-raaz-e-ishq mein ho jati hai KHud hi fana
tu na hoti to na hoti bazm-e-ishrat mein ziya
tu na hoti to na hota munkashif raaz-e-fana
teri hi mamnun hain shah-o-gada ki mahfilen
hain tujhi se pur-ziya sham-e-alam ki manzilen
tu na hoti to na hoti KHana-e-ishrat mein dhum
tere hi dam se to hai kashana-e-ghurbat mein dhum
bekason ki qabr par roti hai raaton ko tu hi
aane wala jin ki qabron par nahin hai koi bhi
sach bata ai shama kis ke hijr mein roti hai tu
kis ke gham mein aansuon se apna munh dhoti hai tu
kya tujhe bhi hai kisi ki kam-nigahi ka gila
kya teri hasti bhi hai yas-o-alam mein mubtala
zabt karti hai jise tu kaun sa wo raaz hai
kis tilism-e-raaz ki ai shama tu dam-saz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.