shams-e-tabrez
Interesting Fact
Aligarh, April 2, 2000
vo kitnā ḳhush-ḳhisāl thā
vo kitnā ḳhush-jamāl thā
jilau meñ apne jo liye thā
lamha-e-visāl thā
ye kā.enāt gā rahī thī
mast thī
ḳharāb thī
mahak meñ gul
lahak meñ sabza
nashshe meñ sharāb thī
ragoñ meñ us ke dajla thā
nigāh meñ furāt thā
vo chehra-e-sifāt thā
vo vajah-e-mumkināt thā
vo ek lamha sub.h thā
to lamha-e-digar
ġhurūb-e-āftāb thā
shafaq bharā ufuq
kabhī tulūa-e-māhtāb thā
vo dopahar thā
aadhī raat thā
anokhī koī baat thā
hazār dilbaroñ meñ taaq thā
misāl-e-be-misāl thā
vasūq-e-be-visāq thā
vo kaaf thā
vo nuun thā
binā-e-koh-e-qāf thā
vo shahd thā
nabāt thā
vo rūh-e-kā.enāt thā
bas ek aan
ek aan meñ
nazar se tā-jigar utar gayā
vo barq thā
vo ra.ad thā
vo tiir thā
kamān thā
yaqīn thā
gumān thā
vo sho.ala barq-e-tūr thā
vajūd se guzar gayā
vahī haiñ jism-o-dast-o-pā
vahī azal se tā-abad
zamāñ makāñ kā silsila
magar nahīñ
magar nahīñ
maiñ zinda huuñ
maiñ zinda huuñ
magar na harf-o-saut haiñ
na hiss-o-karb-e-jāñ-fazā
na zauq-e-ahraman-fagan
na shauq-e-shān-e-kibriyā
hai jism aaj bhī magar
vo dar nahīñ
vo sar nahīñ
ki soz-o-sāz ab koī
nahīñ hai sar-ba-sar nahīñ
wo kitna KHush-KHisal tha
wo kitna KHush-jamal tha
jilau mein apne jo liye tha
lamha-e-visal tha
ye kaenat ga rahi thi
mast thi
KHarab thi
mahak mein gul
lahak mein sabza
nashshe mein sharab thi
ragon mein us ke dajla tha
nigah mein furaat tha
wo chehra-e-sifat tha
wo wajah-e-mumkinat tha
wo ek lamha subh tha
to lamha-e-digar
ghurub-e-aftab tha
shafaq bhara ufuq
kabhi tulua-e-mahtab tha
wo dopahar tha
aadhi raat tha
anokhi koi baat tha
hazar dilbaron mein taq tha
misal-e-be-misal tha
wasuq-e-be-wisaq tha
wo kaf tha
wo nun tha
bina-e-koh-e-qaf tha
wo shahd tha
nabaat tha
wo ruh-e-kaenat tha
bas ek aan
ek aan mein
nazar se ta-jigar utar gaya
wo barq tha
wo rad tha
wo tir tha
kaman tha
yaqin tha
guman tha
wo shoala barq-e-tur tha
wajud se guzar gaya
wahi hain jism-o-dast-o-pa
wahi azal se ta-abad
zaman makan ka silsila
magar nahin
magar nahin
main zinda hun
main zinda hun
magar na harf-o-saut hain
na hiss-o-karb-e-jaan-faza
na zauq-e-ahraman-fagan
na shauq-e-shan-e-kibriya
hai jism aaj bhi magar
wo dar nahin
wo sar nahin
ki soz-o-saz ab koi
nahin hai sar-ba-sar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.