shamsa
vo nargis bhī hiirā bhī sham.a bhī aivān bhī thā
kitāboñ meñ ḳhud tazkira sar-varaq nafs-e-mazmūn
diibā bhī shamsa bhī unvān bhī thā
abhī kuchh baras qabl andar ke safhoñ pe Thahrā
zarā der guzrī to safhe pe nīche kī satroñ meñ utrā
vo ab hāshiye par paḌā hai
ḳhudā jaane kab kaun us ko paḌhegā
paḌhegā kabhī
kahīñ dil meñ ik ḳhauf sā hai
ye sūraj jo Dhalne lagā hai chaḌhegā
chaḌhegā kabhī
wo nargis bhi hira bhi shama bhi aiwan bhi tha
kitabon mein KHud tazkira sar-waraq nafs-e-mazmun
diba bhi shamsa bhi unwan bhi tha
abhi kuchh baras qabl andar ke safhon pe Thahra
zara der guzri to safhe pe niche ki satron mein utra
wo ab hashiye par paDa hai
KHuda jaane kab kaun us ko paDhega
paDhega kabhi
kahin dil mein ek KHauf sa hai
ye suraj jo Dhalne laga hai chaDhega
chaDhega kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.