shanaKHt
ek maqbūliyat kī saa.at meñ
aa.ī hoñToñ pe ik duā aise
vaqt kī vus.atoñ se ai mālik
chand lamhe mujhe ināyat hoñ
sā.ateñ vo jo sirf apnī hoñ
vo bhī tanhā hoñ ham bhī tanhā hoñ
aur vo sā.ateñ
zamāne meñ
merī pahchān ban ke zinda hoñ
aisī maqbūliyat kā lamha thā
merī pahchān ban ke
vo lamhe
merī muTThī meñ band haiñ
lekin
vaqt aage nikal gayā mujh se
aur lamhoñ kī qaid meñ apne
maiñ huuñ tanhā bahut hī tanhā huuñ
apne harf-e-duā pe nādim huuñ
ek maqbuliyat ki saat mein
aai honTon pe ek dua aise
waqt ki wusaton se ai malik
chand lamhe mujhe inayat hon
saaten wo jo sirf apni hon
wo bhi tanha hon hum bhi tanha hon
aur wo saaten
zamane mein
meri pahchan ban ke zinda hon
aisi maqbuliyat ka lamha tha
meri pahchan ban ke
wo lamhe
meri muTThi mein band hain
lekin
waqt aage nikal gaya mujh se
aur lamhon ki qaid mein apne
main hun tanha bahut hi tanha hun
apne harf-e-dua pe nadim hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.