shanaKHt ka minar
bhūre rang ke kuttoñ kī haḌboñg ne
fazā par vahshat taarī kar dī hai
in kī bhuuk itnī shadīd hai
ki vo
sirf maḳhsūs qism kī haDDiyoñ kā guudā
sūñgh sūñgh kar talāsh rahe haiñ
ab to kaale kutte bhī
barsoñ kī niiñd se jaag uThe haiñ
aur vo bhī
in bhūre kuttoñ kī talāsh ke madad-gār ban rahe haiñ
māhaul par vahshat kī dhund chhā.ī huī hai
ye vahshat itnī ḳhaufnāk hai
ki
jañgalī darinde bhī apnī ḳhaslat bhuul ga.e haiñ
aur is dhund meñ
safed ḳhargosh
apnī baqā kī ḳhātir bhūre aur kaale kuttoñ kī haḌboñg
kī vahshat se
itne hirāsāñ ho rahe haiñ
ki
kahīñ kahīñ par vo apnī khaal kī rangat tak
chhupāne ke liye majbūr ho rahe haiñ
safed ḳhargoshoñ kā ek aur bhī mas.ala hai ki
vo kabhī kabhī apnī hī khaal ko
apne hī dāñtoñ se kutarne meñ lag jaate haiñ
jis kī vaj.h se
un kī shanāḳht kī pahchān
kuttoñ ke liye
āsān ho jaatī hai
lekin agar unheñ
apnī yaksāñ shanāḳht kā
ehsās ho jaa.e
to
ye bhūre aur kaale kutte
phir apnī bhuuk ko bhuul kar
apnī mashkūk shanāḳht ko bachāne
ke liye pareshāñ ho jā.eñge
lekin
kyā safed ḳhargosh kabhī
apnī shanāḳht kā mīnār ta.amīr kar pā.eñge
bhure rang ke kutton ki haDbong ne
faza par wahshat tari kar di hai
in ki bhuk itni shadid hai
ki wo
sirf maKHsus qism ki haDDiyon ka guda
sungh sungh kar talash rahe hain
ab to kale kutte bhi
barson ki nind se jag uThe hain
aur wo bhi
in bhure kutton ki talash ke madad-gar ban rahe hain
mahaul par wahshat ki dhund chhai hui hai
ye wahshat itni KHaufnak hai
ki
jangali darinde bhi apni KHaslat bhul gae hain
aur is dhund mein
safed KHargosh
apni baqa ki KHatir bhure aur kale kutton ki haDbong
ki wahshat se
itne hirasan ho rahe hain
ki
kahin kahin par wo apni khaal ki rangat tak
chhupane ke liye majbur ho rahe hain
safed KHargoshon ka ek aur bhi masala hai ki
wo kabhi kabhi apni hi khaal ko
apne hi danton se kutarne mein lag jate hain
jis ki wajh se
un ki shanaKHt ki pahchan
kutton ke liye
aasan ho jati hai
lekin agar unhen
apni yaksan shanaKHt ka
ehsas ho jae
to
ye bhure aur kale kutte
phir apni bhuk ko bhul kar
apni mashkuk shanaKHt ko bachane
ke liye pareshan ho jaenge
lekin
kya safed KHargosh kabhi
apni shanaKHt ka minar tamir kar paenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.