shanaKHt
har ek qatra
samundaroñ meñ samā gayā hai
vajūd apnā gañvā chukā hai
isī yaqīñ par
ki ab vo qatre se ik samundar
kī be-karānī meñ Dhal gayā hai
magar yahāñ hai
bahut akelā jo ek qatra
vajūd apnā sambhāl kar muskurā rahā hai
ki us ke andar ka.ī samundar samā ga.e haiñ
har ek qatra
samundaron mein sama gaya hai
wajud apna ganwa chuka hai
isi yaqin par
ki ab wo qatre se ek samundar
ki be-karani mein Dhal gaya hai
magar yahan hai
bahut akela jo ek qatra
wajud apna sambhaal kar muskura raha hai
ki us ke andar kai samundar sama gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.