shanasa aahaTen
idhar ka.ī dinoñ se
duur duur tak bhī niiñd kā pata nahīñ
kasīle kaḌve zā.iqe
Tapak rahe haiñ aañkh se
ka.ī pahr guzar chuke
tavīl kaalī raat ke
maiñ sun rahā huuñ der se
hazāroñ baar kī sunī-sunā.ī dastakeñ
kabhī shanāsā āhaTeñ
kabhī nashīlī sarsarāhaTeñ
kivāḌ kholte hī
dastakeñ!
vo āhaTeñ nashīlī sarsarāhaTeñ
ḳhirāj rūThī niiñd kā liye hue chalī ga.īñ!
idhar kai dinon se
dur dur tak bhi nind ka pata nahin
kasile kaDwe zaiqe
Tapak rahe hain aankh se
kai pahr guzar chuke
tawil kali raat ke
main sun raha hun der se
hazaron bar ki suni-sunai dastaken
kabhi shanasa aahaTen
kabhi nashili sarsarahaTen
kiwaD kholte hi
dastaken!
wo aahaTen nashili sarsarahaTen
KHiraj ruThi nind ka liye hue chali gain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.