shanasai
raat ke haath pe jaltī huī ik sham-e-vafā
apnā haq māñgtī hai
duur ḳhvāboñ ke jazīre meñ
kisī rauzan se
sub.h kī ek kiran jhāñktī hai
vo kiran darpa-e-āzār huī jaatī hai
merī ġham-ḳhvār huī jaatī hai
aao kirnoñ ko añdheroñ kā kafan pahnā.eñ
ik chamaktā huā sūraj sar-e-maqtal laa.eñ
tum mire paas raho
aur yahī baat kaho
aaj bhī harf-e-vafā bā.is-e-rusvā.ī hai
apne qātil se mirī ḳhuub shanāsā.ī hai
raat ke hath pe jalti hui ek sham-e-wafa
apna haq mangti hai
dur KHwabon ke jazire mein
kisi rauzan se
subh ki ek kiran jhankti hai
wo kiran darpa-e-azar hui jati hai
meri gham-KHwar hui jati hai
aao kirnon ko andheron ka kafan pahnaen
ek chamakta hua suraj sar-e-maqtal laen
tum mere pas raho
aur yahi baat kaho
aaj bhi harf-e-wafa bais-e-ruswai hai
apne qatil se meri KHub shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.