shanasai
lauT bhī aa.eñ agar ab
vo shanāsā lamhe
aur maiñ tujh se milūñ bhī
to dabe lafzoñ meñ
pūchheñge sabhī
kin sitāroñ kī guzargāh pe tum pahle-pahal nikle the
kaun sī jhiil thī vo
jis meñ tum pahle-pahal Duube the
kaun se peḌ the vo
jin ke sāyoñ meñ
mohabbat ke shagūfe phūTe
itne badle hue hālāt ke dorāhe par
in savāloñ ke javābāt meñ kaise dūñgā
ajnabī ban ke milūñgā
to koī pūchh na le
ye jo āñkhoñ meñ
mohabbat kā ravāñ hai dariyā
us kī kis mauj se
rishta hai shanāsā.ī kā
us ko Dar kaisā hai rusvā.ī kā
aur agar
tujh se na milne kī qasam khā.ūñ
to phir
dil kī har rag se lahū Tapkegā tanhā.ī kā
maiñ sahe jā.ūñgā ye zaḳhm shanāsā.ī kā
lauT bhi aaen agar ab
wo shanasa lamhe
aur main tujh se milun bhi
to dabe lafzon mein
puchhenge sabhi
kin sitaron ki guzargah pe tum pahle-pahal nikle the
kaun si jhil thi wo
jis mein tum pahle-pahal Dube the
kaun se peD the wo
jin ke sayon mein
mohabbat ke shagufe phuTe
itne badle hue haalat ke dorahe par
in sawalon ke jawabaat mein kaise dunga
ajnabi ban ke milunga
to koi puchh na le
ye jo aankhon mein
mohabbat ka rawan hai dariya
us ki kis mauj se
rishta hai shanasai ka
us ko Dar kaisa hai ruswai ka
aur agar
tujh se na milne ki qasam khaun
to phir
dil ki har rag se lahu Tapkega tanhai ka
main sahe jaunga ye zaKHm shanasai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.