Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab-o-saqi

Dharmpal Aaqil

sharab-o-saqi

Dharmpal Aaqil

MORE BYDharmpal Aaqil

    rind jab jhūmte haiñ nashshe meñ

    aur surāhī bhī raqs kartī hai

    kahte haiñ hosh kho ke sab mai-kash

    rahmat-e-haq yahāñ barastī hai

    koī suntā nahīñ ḳhirad baat

    mai-kade meñ junūñ chaltī hai

    mausam-e-gul ho abr-e-bārāñ ho

    aisī rut ho to piinī paḌtī hai

    baat saaqī sunā vo jis se hameñ

    zindagī shu.ūr aa jaa.e

    vajd karne lageñ sab ahl-e-bazm

    be-piye surūr aa jaa.e

    ziist raqsāñ hai ab fazāoñ meñ

    ghul ga.ī hai sharāb bū-bās

    mai-kasho kyā sitam hai aise meñ

    mai-kada is qadar udaas udaas

    mai-e-gul-gūñ pilā ke ai saaqī

    mirī tishnagī baḌhātā hai

    merī niyyat kabhī nahīñ bhartī

    to dil khol kar pilātā hai

    rind ye kah rahā thā vaa.iz se

    kaun hai mujh ko rokne vaalā

    mai-kashī chhoḌnā nahīñ mumkin

    kaun hai mujh ko Tokne vaalā

    kuchh to talchhaT se bhī rahe mahrūm

    kuchh ko hāsil hai lutf sāġhar

    ġhalat-baḳhsh to nahīñ saaqī

    khel saarā hai ye muqaddar

    zāhid-e-be-riyā banā hai koī

    aur banā koī rind-e-shātir hai

    hai tag-o-dau jahāñ meñ jitnī bhī

    sirf ik chiiz ḳhātir hai

    rind jab jhumte hain nashshe mein

    aur surahi bhi raqs karti hai

    kahte hain hosh kho ke sab mai-kash

    rahmat-e-haq yahan barasti hai

    koi sunta nahin KHirad ki baat

    mai-kade mein junun ki chalti hai

    mausam-e-gul ho abr-e-baran ho

    aisi rut ho to pini paDti hai

    baat saqi suna wo jis se hamein

    zindagi ka shuur aa jae

    wajd karne lagen sab ahl-e-bazm

    be-piye hi surur aa jae

    zist raqsan hai ab fazaon mein

    ghul gai hai sharab ki bu-bas

    mai-kasho kya sitam hai aise mein

    mai-kada is qadar udas udas

    mai-e-gul-gun pila ke ai saqi

    tu meri tishnagi baDhata hai

    meri niyyat kabhi nahin bharti

    tu to dil khol kar pilata hai

    rind ye kah raha tha waiz se

    kaun hai mujh ko rokne wala

    mai-kashi chhoDna nahin mumkin

    kaun hai mujh ko Tokne wala

    kuchh to talchhaT se bhi rahe mahrum

    kuchh ko hasil hai lutf saghar ka

    tu ghalat-baKHsh to nahin saqi

    khel sara hai ye muqaddar ka

    zahid-e-be-riya bana hai koi

    aur bana koi rind-e-shatir hai

    hai tag-o-dau jahan mein jitni bhi

    sirf ek chiz hi ki KHatir hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now