shararat ka maza
rashīda thī yuuñ to baḌī nek laḌkī
magar us meñ ye ek aadat burī thī
vo har chiiz ko chhūtī aur chheḌtī thī
ye baat us kī ghuTTī meñ goyā thī
burā.ī ho ik bhī to kaisī burī hai
bhalā.ī kī rag kāTne ko chhurī hai
kabhī chā.e-dānī kā Dhaknā uThātī
vo ye jhāñk kar dekhtī is meñ kyā hai
kabhī ketlī ko ulaT kar girātī
samajhtī jo dhyān aap kā baT gayā hai
use rokte bhī to ruktī vo kab thī
burī us meñ aadat paḌī ye ajab thī
ye ik din kā hai zikr qissa huā kyā
tipā.ī pe daadī ne ainak ko rakhā
thī nisvār kī bhī vahīñ ek Dibiyā
rashīda ne un donoñ chīzoñ ko taakā
ye sochā ki dekhūñgī chīzeñ ye kyā hai
zarā daadī amaañ haTeñ yaañ se jaa.eñ
ġharaz un ke haTte hī us kī ban i
usī vaqt āñkhoñ pe ainak lagā.ī
vo Dibiyā bhī nisvār kī us ko bhaa.ī
ki rañgīn dhakne meñ thī ḳhush-numā.ī
vo ainak to pahle lagā hī chukī thī
huī fikr Dibiyā ko ab kholne kī
kahā dil meñ mujh se kaheñgī ye daadī
ki beTī na chhūnā ise bhuul kar bhī
magar shukr hai is ghaḌī vo nahīñ haiñ
na abbā na amaañ na aapā kahīñ haiñ
zarā khol kar dekh luuñ is meñ kyā hai
abhī band kar dūñgī phir harj kyā hai
rashīda ne Dibiyā kā Dhaknā jo kholā
to us meñ lagā zor kā ek jhaTkā
havā meñ vo nisvār har samt phailī
rashīda ke chehre pe uḌ uḌ ke i
na āñkheñ na nathune na muñh aur ThoḌī
jagah ek bhī us ne baaqī na chhoḌī
huī naak nisvār se us kī lat-pat
na pūchho banī us ghaḌī us kī kyā gat
vo ghabrā ke har har taraf ḳhuub dauḌī
magar phir bhī chhīñkoñ se fursat na paa.ī
na ārām us ko milā ek pal bhī
na mil paa.ī us ko zarā der kal bhī
vo ghabrā.ī itnī ki ainak ko pheñkā
chalī phir vo paanī se dhone ko chehrā
nihāyat hī nāzuk the ainak ke shīshe
vo girtī hī bas ho ga.e TukḌe TukḌe
milī us ko apne kiye kī sazā ye
ki miltī hai phūTe hiye ki sazā ye
phir itne meñ daadī ko aate jo dekhā
huā haal abtar bahut phir to us kā
rashīda arī tujh ko ye ho gayā kyā
ye daadī ne tevrī chaḌhā kar jo pūchhā
to bas sharm se gaḌ ga.iiñ b rashīda
ajab soch meñ paḌ ga.iiñ b rashīda
rashīda kī hālat huī ġhair dukh se
rahā kaam us ko ḳhushī se na sukh se
kiyā us ne va.ada ye khā khā ke qasmeñ
ki ab bhuul kar bhī na chheḌūñgī chīzeñ
sunā hai ye 'nayyar' ne logoñ kā kahnā
rashīda ne va.ada kiyā apnā puurā
rashida thi yun to baDi nek laDki
magar us mein ye ek aadat buri thi
wo har chiz ko chhuti aur chheDti thi
ye baat us ki ghuTTi mein goya thi
burai ho ek bhi to kaisi buri hai
bhalai ki rag kaTne ko chhuri hai
kabhi chae-dani ka Dhakna uThati
wo ye jhank kar dekhti is mein kya hai
kabhi ketli ko ulaT kar giraati
samajhti jo dhyan aap ka baT gaya hai
use rokte bhi to rukti wo kab thi
buri us mein aadat paDi ye ajab thi
ye ek din ka hai zikr qissa hua kya
tipai pe dadi ne ainak ko rakha
thi niswar ki bhi wahin ek Dibiya
rashida ne un donon chizon ko taka
ye socha ki dekhungi chizen ye kya hai
zara dadi aman haTen yan se jaen
gharaz un ke haTte hi us ki ban i
usi waqt aankhon pe ainak lagai
wo Dibiya bhi niswar ki us ko bhai
ki rangin dhakne mein thi KHush-numai
wo ainak to pahle laga hi chuki thi
hui fikr Dibiya ko ab kholne ki
kaha dil mein mujh se kahengi ye dadi
ki beTi na chhuna ise bhul kar bhi
magar shukr hai is ghaDi wo nahin hain
na abba na aman na aapa kahin hain
zara khol kar dekh lun is mein kya hai
abhi band kar dungi phir harj kya hai
rashida ne Dibiya ka Dhakna jo khola
to us mein laga zor ka ek jhaTka
hawa mein wo niswar har samt phaili
rashida ke chehre pe uD uD ke i
na aankhen na nathune na munh aur ThoDi
jagah ek bhi us ne baqi na chhoDi
hui nak niswar se us ki lat-pat
na puchho bani us ghaDi us ki kya gat
wo ghabra ke har har taraf KHub dauDi
magar phir bhi chhinkon se fursat na pai
na aaram us ko mila ek pal bhi
na mil pai us ko zara der kal bhi
wo ghabrai itni ki ainak ko phenka
chali phir wo pani se dhone ko chehra
nihayat hi nazuk the ainak ke shishe
wo girti hi bas ho gae TukDe TukDe
mili us ko apne kiye ki saza ye
ki milti hai phuTe hiye ki saza ye
phir itne mein dadi ko aate jo dekha
hua haal abtar bahut phir to us ka
rashida ari tujh ko ye ho gaya kya
ye dadi ne tewri chaDha kar jo puchha
to bas sharm se gaD gain b rashida
ajab soch mein paD gain b rashida
rashida ki haalat hui ghair dukh se
raha kaam us ko KHushi se na sukh se
kiya us ne wada ye kha kha ke qasmen
ki ab bhul kar bhi na chheDungi chizen
suna hai ye 'nayyar' ne logon ka kahna
rashida ne wada kiya apna pura
Tagged Under
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.