Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharik-e-gham

Shaista Mufti

sharik-e-gham

Shaista Mufti

MORE BYShaista Mufti

    bahut maġhrūr ho tum bhī

    mohabbat ko samajhte ho

    ki jaise dhuul paañv

    ki jaise ḳhaak rāhoñ

    magar jānāñ zarā socho

    ruko lamhe ko aur dekho

    kahīñ aisā na ho jaa.e

    tumhārā dil badal jaa.e

    satā.e yaad chāhat

    ye aañsū rog ban jaa.eñ

    tumheñ aur ham ko taḌpā.eñ

    zarā Thahro mirī sun lo

    ki maiñ tum ko samajhtī huuñ

    zarā tum se ziyāda

    mujhe parvā nahīñ apnī

    nahīñ hai maslahat koī

    kahīñ aisā na ho jaa.e

    bahut vaqt bah jaa.e

    aur aisā moḌ aa jaa.e

    jahāñ se rāsta koī bhī

    mujh tak tum ko na laa.e

    mujhe afsos hai jānāñ

    ki maiñ to huuñ āzurda

    tumhārī muskurāhaT bhī

    kahīñ aañsū na ban jaa.e

    sharīk-e-ġham tumhārī huuñ

    tumhārī ḳhair ḳhvāh bhī huuñ

    yahīñ ruk jaao mat jaao

    yahī tum se kahā thā naa?

    magar tum ko to shāyad nit-na.e mausam bulāte the

    na.e sur aur na.e gītoñ ke sangam gungunāte the

    to phir tum ko ḳhamoshī zabāñ

    mushkil thā samjhānā

    ye dukh tum ko sahnā thā

    to phir anjān ban jaanā

    faqat ik ye rasta thā

    jise ham ne sahal jaanā

    magar tujh ko udāsī meñ yuuñ ab dekhā nahīñ jaatā

    tirī ghāyal nazar sāmnā mujh se nahīñ hotā

    bahut maghrur ho tum bhi

    mohabbat ko samajhte ho

    ki jaise dhul panw ki

    ki jaise KHak rahon ki

    magar jaanan zara socho

    ruko lamhe ko aur dekho

    kahin aisa na ho jae

    tumhaara dil badal jae

    satae yaad chahat ki

    ye aansu rog ban jaen

    tumhein aur hum ko taDpaen

    zara Thahro meri sun lo

    ki main tum ko samajhti hun

    zara tum se ziyaada hi

    mujhe parwa nahin apni

    nahin hai maslahat koi

    kahin aisa na ho jae

    bahut sa waqt bah jae

    aur aisa moD aa jae

    jahan se rasta koi bhi

    mujh tak tum ko na lae

    mujhe afsos hai jaanan

    ki main to hun hi aazurda

    tumhaari muskurahaT bhi

    kahin aansu na ban jae

    sharik-e-gham tumhaari hun

    tumhaari KHair KHwah bhi hun

    yahin ruk jao mat jao

    yahi tum se kaha tha na?

    magar tum ko to shayad nit-nae mausam bulate the

    nae sur aur nae giton ke sangam gungunate the

    to phir tum ko KHamoshi ki zaban

    mushkil tha samjhana

    ye dukh tum ko hi sahna tha

    to phir anjaan ban jaana

    faqat ek ye hi rasta tha

    jise hum ne sahal jaana

    magar tujh ko udasi mein yun ab dekha nahin jata

    teri ghayal nazar ka samna mujh se nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now