Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharir bachche

Zafar Kamali

sharir bachche

Zafar Kamali

ham ko hai faḳhr is par ham haiñ sharīr bachche

māhir haiñ apne fan meñ ham be-nazīr bachche

pille ko ghar meñ laa.eñ bāñhoñ meñ ham jakaḌ kar

mauqa.a mile to khīñcheñ billī dum pakaḌ kar

dekheñ agar gad.he ko dāġheñ use salāmī

apnā jo bas chale to us kareñ ġhulāmī

bakre pe baiTh kar ham galiyoñ meñ roz ghūmeñ

chūñ-chūñ kare jo chūza us ko zarūr chūmeñ

bistar sabz chādar ḳhargosh ko uḌhā deñ

munnū laal Topī bakre ko ham pahnā deñ

dādā-miyāñ chashma āñkhoñ meñ ham lagā kar

rasta chaleñ kamar ko apnī zarā jhukā kar

aayā nasīhatoñ par ham ko na kaan denā

murġhoñ ke saath mil kar bhaa.e azaan denā

baajī har dupaTTa apnā bane amāma

joker baneñ pahan kar bhayyā pā.ejāma

sofoñ pe ḳhuub kūdeñ ūdham bahut machā.eñ

mil jaa.e jo kanastar phir Dhol ham bajā.eñ

garmī dopahar meñ bāġhoñ ḳhaak phāñkeñ

chiḌiyoñ ke ghoñsloñ meñ ke roz jhāñkeñ

amrūd hoñ jo kachche un ko zarūr toḌeñ

sab kaam chhūT jaa.e ye kaam ham na chhoḌeñ

paanī meñ rañg gholeñ us banā.eñ sharbat

peḌoñ pe chaḌh ke baiTheñ samjheñ use parbat

kutte ko dekhte dauḌā.eñ le ke DañDā

apnī bahādurī lahrā.eñ ḳhuub jhanDā

yāroñ ke saath mil kar qavvāliyāñ bhī gaa.eñ

tabla bajā.eñ muñh se aur taan bhī uḌā.eñ

insāf-var haiñ jitne vo is ko mānte haiñ

duniyā har sharārat ham ḳhuub jānte haiñ

ham ko hai faḳhr is par ham haiñ sharīr bachche

māhir haiñ apne fan meñ ham be-nazīr bachche

hum ko hai faKHr is par hum hain sharir bachche

mahir hain apne fan mein hum be-nazir bachche

pille ko ghar mein laen banhon mein hum jakaD kar

mauqa mile to khinchen billi ki dum pakaD kar

dekhen agar gadhe ko daghen use salami

apna jo bas chale to us ki karen ghulami

bakre pe baiTh kar hum galiyon mein roz ghumen

chun-chun kare jo chuza us ko zarur chumen

bistar ki sabz chadar KHargosh ko uDha den

munnu ki lal Topi bakre ko hum pahna den

dada-miyan ka chashma aankhon mein hum laga kar

rasta chalen kamar ko apni zara jhuka kar

aaya nasihaton par hum ko na kan dena

murghon ke sath mil kar bhae azan dena

baji ka har dupaTTa apna bane amama

joker banen pahan kar bhayya ka paejama

sofon pe KHub kuden udham bahut machaen

mil jae jo kanastar phir Dhol hum bajaen

garmi ki dopahar mein baghon ki KHak phanken

chiDiyon ke ghonslon mein ja ja ke roz jhanken

amrud hon jo kachche un ko zarur toDen

sab kaam chhuT jae ye kaam hum na chhoDen

pani mein rang gholen us ka banaen sharbat

peDon pe chaDh ke baiThen samjhen use hi parbat

kutte ko dekhte hi dauDaen le ke DanDa

apni bahaduri ka lahraen KHub jhanDa

yaron ke sath mil kar qawwaliyan bhi gaen

tabla bajaen munh se aur tan bhi uDaen

insaf-war hain jitne wo is ko mante hain

duniya ki har shararat hum KHub jaante hain

hum ko hai faKHr is par hum hain sharir bachche

mahir hain apne fan mein hum be-nazir bachche

Source :
  • Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 6)
  • Author : Zafar Kamali
  • Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2014)
  • Edition : 2014
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now