Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shart-e-rifaqat

Rafia Shabnam Abidi

shart-e-rifaqat

Rafia Shabnam Abidi

MORE BYRafia Shabnam Abidi

    tum mire paas raho saath raho

    aur ye ehsās rahe

    maiñ ki āzād huuñ jiine ke liye

    aur zinda huuñ ḳhud apne andar

    apnī zaat meñ tābinda huuñ

    apnī har saañs pe qabza hai mirā

    apnī pākīza tamannāoñ takmīl haq hai mujh ko

    apne ma.asūm se jazbāt tarsīl haq hai mujh ko

    ye zamīñ merī bhī ye dasht-o-chaman mere bhī

    sirf āñgan nahīñ koh-o-daman mere bhī

    māh-o-anjum bhī mire niilā tabaq merā bhī

    jitnā un par hai tumhārā vahī haq merā bhī

    shart bas ye hai

    ki tum saath raho paas raho

    merī har marzī meñ shāmil ho tumhārī marzī

    merī har saañs shāhid hoñ tumhārī sāñseñ

    mere har raaz hāsil ho tumhārī dhaḌkan

    aur ham ek zanjīr meñ pā-basta hoñ

    tum mere pas raho sath raho

    aur ye ehsas rahe

    main ki aazad hun jine ke liye

    aur zinda hun KHud apne andar

    apni hi zat mein tabinda hun

    apni har sans pe qabza hai mera

    apni pakiza tamannaon ki takmil ka haq hai mujh ko

    apne masum se jazbaat ki tarsil ka haq hai mujh ko

    ye zamin meri bhi ye dasht-o-chaman mere bhi

    sirf aangan hi nahin koh-o-daman mere bhi

    mah-o-anjum bhi mere nila tabaq mera bhi

    jitna un par hai tumhaara wahi haq mera bhi

    shart bas ye hai

    ki tum sath raho pas raho

    meri har marzi mein shamil ho tumhaari marzi

    meri har sans ki shahid hon tumhaari sansen

    mere har raaz ki hasil ho tumhaari dhaDkan

    aur hum ek hi zanjir mein pa-basta hon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now