shash-jihat
lamha-e-nau aziim hai
sozish-e-dil hai kyā balā jazb-o-junūñ bhī kuchh nahīñ
sāñjh samāj hech haiñ rishta-e-ḳhūñ bhī kuchh nahīñ
hasrat va aarzū kī nai bandish va bastagī kī lai
damdama-e-qadīm hai
ahd-e-kuhan guzar gayā lamha-e-nau aziim hai
aaj kā sehr be-badal aaj kī lau aziim hai
itr kī ruuh meñ basī asr ke ruup meñ rachī
phūTtī pau aziim hai ye tag-o-dau aziim hai
bahr-e-jadīd auj mauj is meñ guhar haiñ mauj mauj
sat.h-ba-sat.h sab sadaf nuur kī rau aziim hai
taaza tarīn ye jahāñ taaza nujūm va āsmāñ
un kī jhalak judā judā un kā jilau aziim hai
aur hai is kī tāb-o-tab aur hai chaal aur chhab
jo ḳhad-o-ḳhāl hoñ so hoñ aa.ina to aziim hai
lamha-e-nau aziim hai
is meñ riyāsatoñ kā dhan saare nashāt
sab mehan
aish kā dil-o-badan ġhārat-e-zindagī kā fan
ek baTan kā marhala
lamha-e-nau azim hai
sozish-e-dil hai kya bala jazb-o-junun bhi kuchh nahin
sanjh samaj hech hain rishta-e-KHun bhi kuchh nahin
hasrat wa aarzu ki nai bandish wa bastagi ki lai
damdama-e-qadim hai
ahd-e-kuhan guzar gaya lamha-e-nau azim hai
aaj ka sehr be-badal aaj ki lau azim hai
itr ki ruh mein basi asr ke rup mein rachi
phuTti pau azim hai ye tag-o-dau azim hai
bahr-e-jadid auj mauj is mein guhar hain mauj mauj
sath-ba-sath sab sadaf nur ki rau azim hai
taza tarin ye jahan taza nujum wa aasman
un ki jhalak juda juda un ka jilau azim hai
aur hai is ki tab-o-tab aur hai chaal aur chhab
jo KHad-o-KHal hon so hon aaina to azim hai
lamha-e-nau azim hai
is mein riyasaton ka dhan sare nashat
sab mehan
aish ka dil-o-badan ghaarat-e-zindagi ka fan
ek baTan ka marhala
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 66)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.