shattul-arab
ye surḳh dhāre qadīm vaqtoñ kī dāstānoñ ke surḳh-rāvī
kanār-e-āb-e-falak haiñ dastār banñe vaale naḳhīl-zāde
navāh-e-basra meñ phailtī bad-gumān sub.heñ
fazā meñ be-nām siskiyoñ kī shikasta-lahreñ
jinheñ munāfiq sifāratoñ ke hisār ne qatl kar diyā thā
yahīñ kahīñ haiñ
ye shahr-e-basara jahāñ pe fāras kī apsarā.eñ
qadīm ūñToñ kī jañg meñ kaam aa ga.ī thiiñ
ḳhilāfatoñ aur hijratoñ ke asiil shāhid
ye surḳh dhāre
ajab nahīñ ḳhāmushī kī tasbīh kartī rāteñ
kisī zamāne meñ chīḳh uTThīñ
ki kaise abbāsiyoñ ke ahd-e-muvāfaqat meñ
siyāh-sanjī ubal paḌe the
ġhulām-gardish kī dāstānoñ meñ raḳhna paḌnā kahāñ likhā thā
ye surḳh dhāre mo.arriḳhoñ kī tarāsh-karda
qabīh girheñ kabhī to kholeñge sach kī ḳhātir
ai ahal-e-basra ye e.atizāloñ kī dāstāneñ kahāñ likhī thiiñ
to vāsil-ibn-e-atā kī bāteñ jo razm-gāh-e-kalām-andar
chunī ga.ī thiiñ samā.atoñ ne kabhī sunī haiñ
to ahal-e-basra hasan jo basrī the jānte ho
muhāsba kī naved le kar tumhārī ḳhātir tumhārī miTTī pe aa ga.e the
tumheñ ḳhabar hai jab ahal-e-basra namāz paḌhnā hī bhuul baiThe
hasan jo basrī the yaañ kī shorish se duur jañgal meñ
tār-e-anfās ke tajallī se bahra-var the magar jo is roz
qahr TuuTā janāza-gah meñ the ahal-e-basra
koī nahīñ thā ḳhudā ke ghar meñ
to ahal-e-basra ye surḳh dhāre ḳhamosh the kyā
qadīm vaqtoñ ke surḳh-rāvī
batā ai shattul-arab ke paanī
yahāñ pe turkoñ ne kyā kiyā thā yahāñ valandezī kaise aa.e
tumhāre paanī ke ḳhār-o-ḳhas kī miThās thī yā
ḳhumār hairat kī god meñ mahv-e-istirāhat qadīm vaqtoñ kī dāstāneñ
tamām aalam ke surḳh dariyā ḳhamosh kyuuñ haiñ
mo.arriḳhoñ kī qabīh girheñ kabhī khuleñgī
ham apnī apnī sadāqatoñ meñ hī rahne vaale
barahna lamhoñ ke vārisoñ meñ se rah ga.e haiñ
ye surKH dhaare qadim waqton ki dastanon ke surKH-rawi
kanar-e-ab-e-falak hain dastar banne wale naKHil-zade
nawah-e-basra mein phailti bad-guman subhen
faza mein be-nam siskiyon ki shikasta-lahren
jinhen munafiq sifaraton ke hisar ne qatl kar diya tha
yahin kahin hain
ye shahr-e-basara jahan pe faras ki apsaraen
qadim unTon ki jang mein kaam aa gai thin
KHilafaton aur hijraton ke asil shahid
ye surKH dhaare
ajab nahin KHamushi ki tasbih karti raaten
kisi zamane mein chiKH uTThin
ki kaise abbasiyon ke ahd-e-muwafaqat mein
siyah-sanji ubal paDe the
ghulam-gardish ki dastanon mein raKHna paDna kahan likha tha
ye surKH dhaare moarriKHon ki tarash-karda
qabih girhen kabhi to kholenge sach ki KHatir
ai ahal-e-basra ye eatizalon ki dastanen kahan likhi thin
to wasil-ibn-e-ata ki baaten jo razm-gah-e-kalam-andar
chuni gai thin samaaton ne kabhi suni hain
to ahal-e-basra hasan jo basri the jaante ho
muhasba ki nawed le kar tumhaari KHatir tumhaari miTTi pe aa gae the
tumhein KHabar hai jab ahal-e-basra namaz paDhna hi bhul baiThe
hasan jo basri the yan ki shorish se dur jangal mein
tar-e-anfas ke tajalli se bahra-war the magar jo is roz
qahr TuTa janaza-gah mein the ahal-e-basra
koi nahin tha KHuda ke ghar mein
to ahal-e-basra ye surKH dhaare KHamosh the kya
qadim waqton ke surKH-rawi
bata ai shattul-arab ke pani
yahan pe turkon ne kya kiya tha yahan walandezi kaise aae
tumhaare pani ke KHar-o-KHas ki miThas thi ya
KHumar hairat ki god mein mahw-e-istirahat qadim waqton ki dastanen
tamam aalam ke surKH dariya KHamosh kyun hain
moarriKHon ki qabih girhen kabhi khulengi
hum apni apni sadaqaton mein hi rahne wale
barahna lamhon ke warison mein se rah gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.