shauhar ki fariyaad
ai mirī begam na tū merī ḳhudī kamzor kar
ye sharīfoñ kā mohalla hai na itnā shor kar
shab ke pur-taskīn lamhoñ meñ na mujh ko bor kar
is sa.ādat-mand shauhar ko na yuuñ ignore kar
dīda-o-dil terī chāhat ke liye betāb haiñ
mujh se shauhar āj-kal bāzār meñ nāyāb haiñ
mere aane par hai pābandī kabhī jaane pe hai
hai kabhī piine pe qadġhan aur kabhī khāne pe hai
shaam tak ye bojh kitnā tere dīvāne pe hai
ek bachcha hai baġhal meñ dūsrā shāne pe hai
baiThtā hai mujh pe zālim donoñ ghuTne joḌ kar
ye tirā bachcha rahegā merī gardan toḌ kar
merī har ḳhvāhish pe to kahtī hai ho kar ḳhashmagīñ
achchhe shauhar is tarah kī zid kiyā karte nahīñ
to jo T.v mujh ko lā detī mirī raushan-jabīñ
maiñ koī pāgal huuñ phir bhī shaam ko jā.ūñ kahīñ
mujh ko har phandā gavārā hai ye daana bhī to ho
ghar meñ rahne ke liye koī bahāna bhī to ho
aaj kā shauhar jise karnā samajhtā hai harām
maiñ tire vo kaam bhī kartā huuñ mānind-e-ġhulām
mere zimme ghar kī zebā.ish kā saarā ehtimām
hai mirī tahvīl meñ tere kitchen tak kā nizām
aur ġham dene lage tū aur taḌpāne lage
tere bas meñ ho to bachche mujh se janvāne lage
kar na ThanDā sard-mehrī se mirā josh-e-talab
nāravā hai ye tashaddud nā-munāsib ye ġhazab
kis liye pāband kar rakkhā hai mujh ko be-sabab
tū ḳhudā ke vāste bas aaj jaane de club
taash khelūñgā na jī shatranj se bahlā.ūñgā
shab ke sāḌhe aaTh se pahle maiñ ghar aa jā.ūñgā
ai meri begam na tu meri KHudi kamzor kar
ye sharifon ka mohalla hai na itna shor kar
shab ke pur-taskin lamhon mein na mujh ko bor kar
is saadat-mand shauhar ko na yun ignore kar
dida-o-dil teri chahat ke liye betab hain
mujh se shauhar aaj-kal bazar mein nayab hain
mere aane par hai pabandi kabhi jaane pe hai
hai kabhi pine pe qadghan aur kabhi khane pe hai
sham tak ye bojh kitna tere diwane pe hai
ek bachcha hai baghal mein dusra shane pe hai
baiThta hai mujh pe zalim donon ghuTne joD kar
ye tera bachcha rahega meri gardan toD kar
meri har KHwahish pe to kahti hai ho kar KHashmagin
achchhe shauhar is tarah ki zid kiya karte nahin
to jo Tw mujh ko la deti meri raushan-jabin
main koi pagal hun phir bhi sham ko jaun kahin
mujh ko har phanda gawara hai ye dana bhi to ho
ghar mein rahne ke liye koi bahana bhi to ho
aaj ka shauhar jise karna samajhta hai haram
main tere wo kaam bhi karta hun manind-e-ghulam
mere zimme ghar ki zebaish ka sara ehtimam
hai meri tahwil mein tere kitchen tak ka nizam
aur gham dene lage tu aur taDpane lage
tere bas mein ho to bachche mujh se janwane lage
kar na ThanDa sard-mehri se mera josh-e-talab
narawa hai ye tashaddud na-munasib ye ghazab
kis liye paband kar rakkha hai mujh ko be-sabab
tu KHuda ke waste bas aaj jaane de club
tash khelunga na ji shatranj se bahlaunga
shab ke saDhe aaTh se pahle main ghar aa jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.