shauq
shaam jab Dhaltī hai maiñ apne ḳharābe kī taraf
loTtā huuñ sar-nigūñ, bojhal qadam
baara ghanToñ kī mashaqqat aur thakan
baḌh ke le letī hai mujh ko god meñ
aur sail-e-tīrgī meñ Duub jaatī hai ummīd o shauq kī ik ik kiran
rahguzār-e-ārzū par chār-sū uḌtī hai dhuul
aur ik āvāz aatī hai kahīñ se
jo ki an-jānī bhī pahchānī bhī hai
zindagī kuchh bhī nahīñ, kuchh bhī nahīñ, kuchh bhī nahīñ
ik musalsal marg, ik sail-e-balā, nezoñ ke ban
āhoñ, karāhoñ ke sivā
phir isī tārīk lamhe, phir isī nāzuk ghaḌī
aarzū kī rahguzar par chand naqsh-e-pā ubharte haiñ sitāroñ kī tarah
lahlahātā hai koī āñchal bahāroñ kī tarah
phail jaatī hai kisī gesū kī nik.hat chār-sū
ek firdausī tabassum kī sunahrī chāñdnī
dhīme dhīme, ziina ziina
gungunātī, raqs farmātī huī
bām-e-ġham se ḳhāna-e-dil meñ utar kar
thapthapātī hai mujhe
giit gaatī hai, kabhī lorī sunātī hai mujhe
aur phir jab sub.h ko ḳhurshīd-e-ālam-tāb kī pahlī kiran
gudgudātī hai mujhe
kār-gāh-e-dahr meñ vāpas bulātī hai mujhe
aarzū o justujū dil meñ javāñ paatā huuñ maiñ
shauq kī mai ke nashe meñ chuur ho jaatā huuñ maiñ!!
sham jab Dhalti hai main apne KHarabe ki taraf
loTta hun sar-nigun, bojhal qadam
bara ghanTon ki mashaqqat aur thakan
baDh ke le leti hai mujh ko god mein
aur sail-e-tirgi mein Dub jati hai ummid o shauq ki ek ek kiran
rahguzar-e-arzu par chaar-su uDti hai dhul
aur ek aawaz aati hai kahin se
jo ki an-jaani bhi pahchani bhi hai
zindagi kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin
ek musalsal marg, ek sail-e-bala, nezon ke ban
aahon, karahon ke siwa
phir isi tarik lamhe, phir isi nazuk ghaDi
aarzu ki rahguzar par chand naqsh-e-pa ubharte hain sitaron ki tarah
lahlahata hai koi aanchal bahaaron ki tarah
phail jati hai kisi gesu ki nikhat chaar-su
ek firdausi tabassum ki sunahri chandni
dhime dhime, zina zina
gungunati, raqs farmati hui
baam-e-gham se KHana-e-dil mein utar kar
thapthapati hai mujhe
git gati hai, kabhi lori sunati hai mujhe
aur phir jab subh ko KHurshid-e-alam-tab ki pahli kiran
gudgudati hai mujhe
kar-gah-e-dahr mein wapas bulati hai mujhe
aarzu o justuju dil mein jawan pata hun main
shauq ki mai ke nashe mein chur ho jata hun main!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.